Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
MusaPk
on 31/08/2025, 16:02:10 UTC
Allah rehm kara hum par yeh sab hamara Amal ka silaa ha Jo azab ban kar hum par araha ha, yeh start Howa KP buner saa jaha pa cloud burst Howa aur phir swat , gilgit aur ab Punjab aur iska baad Sindh ke bare ha, Punjab aur Khyber pukhtanaKhwa maa abhi halaat bohout tense ha q ka zyada tar dams aur darya bar gya ha aur pani har jagga jama Howa ha ab Issa control karna mushkil ha oper saa barisha aur bhi ho rahe ha. Ap na teek kaha agr dams hota toh Pani whaa store hota zaryaa toor par bhi hamaa faida hota aur bijli bee zyada bante. But ab government apna mamlo maa lage ha awam ka Malik wiasa be Allah ha toh uska Haal pa chor deya. Next Kuch din bohout important ha agr Barish na Howe toh may be situation handle ho jyangaa but agr start Howe toh bohout elaqy damage honga. Isleya Dua kara ab is saa kam chala ga warna government toh wasaa bee kuch karna sa rahi.

Jb bhe koe afat ate hy to nuqsan sub sa zayda aam admi ya necha wala tabqa uthata hy jabka shehron ma rehna walya ameer bach jatya hn. Hmara han qudrati afatjaisa seelab ko amal ka nateeja, jabka developed countries ma inko miss management kaha jata hy. Ab Lahore he ke misaal ly lyn, yahan amal sa zayda hmari management dekhan ka darya ka bed ma housing societies bna de gye hn aur Ravi 38 saal baad apna area wapis lena a gya hy. Zarorat is baat ke hy ka mulk ma pani ko kaisa manage krna hy is pr kaam kea jya. Pr 78 saal aisa he guzr gya to is seelab ka baad bhe kuch nhi hona.