Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Alone055
on 01/09/2025, 22:53:42 UTC
Bohout he sad news ha hamara pashtoon bhaio ko bohout takleef ka samna karna par raha ha yeh earth quake around 12 bjaa ka qareeb ta aur agr magnitude daikha jyaa toh 6.0 ta Jo bohout he zyada hota ha. Aur kara ghar second maa zameen bos hogya. Whaa chonk ghurbat zyada ha aur wassail itna nahi ha abhi abhi azadi Jo mile, so log bohout zyada tadaad maa Injury aur martyred hogya. India na already bohout sara imdadi Saman jis maa khurak aur tent aur bohout samaan shamil ha rawana kardeya ha but hamare hukoomat sirf baato ka ilawa Kuch na baj sake. Hama rescue team aur imdadi saman aur team waha baijna chaheya ta Ak Muslim brother ke hasiyat saa q ka yeh agr aj un pa ha kal ham pa bhi asakta ha....

Sabse pehle toh boht afsosnak waqiya hai aur hum dua karte hain k jo log shaheed hue hain unko ALLAH pak jannat men aala maqam ata farmaye, aur jo zakhmi hain unko sehat o tandrusti ata kare... Ameen.

Uske baad agar baat karen government ki toh sabse pehle yeh aek valid counter point rakha ja skta hai k hamari government ka kaam filhal apne hi mulk ka khayal rakhna hai kyunke hum jaante hain k hamara mulk kis haal se guzar raha hai, bade bade shehr pani men doob chuke hain aur doob rahe hain, logon k ghar unki maal o jaan sab cheezon ka nuqsan hua hai, toh badi baat yeh hogi k hamari government inko hi imdad farahim karle.

Lekin aek baat yeh hai k hamari jo mojuda government hai, unko logon se ya unke jaan o maal se koi lena dena nai, unki bhala se koi marta hai mare, kisi ka nuqsan hota hai toh hota rahe, wo agar camere k samne aa k do achi baten krte hain toh sirf dekhne walon ko bewakoof banane k liye, aur yeh sab main isliye keh rha hn k maine kal aek video dekhi, jismen banda bata raha tha k wo sailab se mutasir hue logon k liye zarorat ka saman le k aye taqseem karne k liye toh unhen rok liya gaya, aur bola gaya k aap jab tak madam Maryam Nawaz ki tasveer nahin lagaenge, aap yeh imdadi kaam nhin kar sakte.. Matlab kia jahalat hai aur kia had hai apni publicity ki ke awaam ka koi taras nai aa rha.