Or Junaid Bhai EK swal ap sy. Bhai Agar mery Nabi صل اللہ علیہ وآلہ واصحابہ وسلم naa hoty to Kaya jo AAP Eid mnaty hen USS ka tsawur hota?? Agar wo naa hoty to ham Kissi Ki butt Ki Pooja naa kar rahy hoty? Or Eid KY lughvi Mani Kaya hen? "Khushi" KY? To kainaat Ki sab sy barri Khushi Kaya hy?
Or ap ny new addition ap ny Kaha. Yani biddat. To biddat BHI to 2 qisam Ki hen. Biddat hasana BHI hen. Or wohi yehi hy. Or ap sab manty BHI hen KY Khushi mnana Galat nai Hy. To bss PHR jiss Ki jitni muhabat wo itna kuch kar leta Hy. Han koi Galat yaa khilaf e Shara kaam naa ho. To ye theak hi Hy.
Ma Sha Allah bhai apne buhat he ache sawalat keya aur bujat he ache jache points utaye hain apne ma pake post ko sarhta hun. Ab chalte hin apke sawalo ko answer karte hain.
Answer karne se pehla ye batana chahta hun ke ma kesi ki dil azari.nahe kar raha na kesi ko khafa karna chahta hun just ye batana chahta hun ke ma q nahe mana raha ye eid aur es ke peche ka reason kia ha.
Acha tu apke 4 dalil ha
1- Nabi Pak S.A.W ki barqat
2- Eid ka matlab khushi , Ap S.A.W ki amad be ek khushi ha.
3- ke ye bedghat husna ha
4- Ke Muhabat ka takaza he je jes bande ki jetni ho wo utni khushi manata ha.
Tu es bat ma koi be shak nahe ha ke Nabi Pak S.A.W ki amad sare musalmano ke leye ek khushi ha , es ma hamre leye hedayat aur nejat ha har kesi ka es bat pe yaqeen ha . Allah ne Quran ma rematul alamin ka laaf aya ha yani ke sare jahano ke leye rehmat bana ke baija ha. Tu es per tu sub log mutafiq ha .
Ab ate hain eid ke mayni per, tu ye sahe ha ke eid ke lafzi mayni khushi ki ha , per agr shariyat ma daika jaye tu Eid wo khaas din ha jes ko Nabi Pak S.A.W ne khud Eid qarar deya hoo aur os din ma hamre leye khaas ebadat ko muqarar keya geya ho , es ma eid ul fitar aur eid ul azha shamil ha .
Ab ate hain bedghat wale bat pe tu bhai bedghat Quran aur ahaadees ma hamesha bure mayno ma aya ha , jaise ke Ershari nabawi ha "Har bedghat gumrahi ha aur har gumrahi jahanm ma lay kar jane wali ha"(Sahi Muslim). Ab jes bedghat husna ke bare ma bat kar rahe hain wo darasal imam shafi ka zamana ta aur unki ek ejtami raaye ti ke wo kaam jo sunat ma shamil te per time ke sath logo ne chor deya ya bhol gaye aur un sunat ko dubra zinda kare tu wo bedghat husna kehlata ha. Es ma kesi be new festival ya events ka ezafa aur piros ko manana shamil nahe. Suhaba karam A S sub se zyada Muhabat karte te Nabi Pak S.A.W se unho ne kabi weladat ka din nahe manaya agr ye waqi ma Muhabat ka taqaza ha tu pir unho ne q nahe manayi bala unse be zyada koi Nabi Pak S.A.w se zyada Pyar Muhabat karne wala ta.
Agr Muhabat ka mayno ma taqaza ye ha ke Allah aur os ke Rasol S.A.W ke etebagh karo unko follow karo nake naye naye cheezo ko deen ma dakhel maro jayse ke Allah formate hain" keh dejeye: agr tum Allah se Muhabat rakte ho tu meri etebagh maro Allah tum se Muhabat kare ga"( Surah Al imran Ayat nbr 31).
Agr waqi ma hum Khushi manate hain aur Muhabat karte hain tu hame chahye ke hum Ap S A.W ki sunat per che unke talemat ko dusro tak pohnchaye aur wo kam kare jo unho ne khud be keya ho aur apne suhaba ko be hukam deya ho.
Per Na Quran ma na hadess aur hum ne kesi suhaba ki zindagi ma es trah ki koi eid dayki ha ke unho ne kesi din ko muqara keya ho aur khaas ussi din ma khushyan manate hain. Hame chaye ke hum wo sub mare jo quran aur hades se sabit ho nake wo jo bad ma add keya ho ya ejat keya geya ho.
Ab zara os traf ate hain ke agr deen ma kli luch add karta ha ya kuch aur tu os ke bare ma Allah aur Os ka Rasool S.A.w kia farmate hain.
الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الْإِسْلَامَ دِينًا
· "آج میں نے تمہارے لیے تمہارا دین مکمل کر دیا ہے، اور اپنی نعمت تم پر پوری کر دی ہے، اور تمہارے لیے اسلام کے دین ہونے پر رضامند ہو گیا ہوں۔"
· (سورہ المائدہ، آیت: 3)
أَمْ لَهُمْ شُرَكَاءُ شَرَعُوا لَهُمْ مِنَ الدِّينِ مَا لَمْ يَأْذَنْ بِهِ اللَّهُ
· "کیا ان (منافقوں) کے (بھی) کچھ شریک (معبود) ہیں جنہوں نے ان کے لیے دین کا (ایسا) طریقہ مقرر کر رکھا ہے جس کا اللہ نے کوئی حکم (یا اجازت) نہیں دیا۔"
· (سورہ الشوریٰ، آیت: 2
نبی اکرم ﷺ کا فرمان ہے، جسے ہر جمعہ کے خطبے میں دہرایا جاتا ہے
إِنَّ أَصْدَقَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ، وَأَنْعَمَ الْهَدْيِ هَدْيُ مُحَمَّدٍ، وَشَرَّ الْأُمُورِ مُحْدَثَاتُهَا، وَكُلَّ مُحْدَثَةٍ بِدْعَةٌ، وَكُلَّ بِدْعَةٍ ضَلَالَةٌ، وَكُلَّ ضَلَالَةٍ فِي النَّارِ.
· "بے شک سب سے سچی بات اللہ کی کتاب (قرآن) ہے، اور بہترین راستہ محمد ﷺ کا راستہ ہے، اور سب سے برے کام (دین میں) نئے ایجاد کردہ امور ہیں، اور ہر نئی (دینی) چیز بدعت ہے، اور ہر بدعت گمراہی ہے، اور ہر گمراہی جہنم میں لے جانے والی ہے۔"
· (سنن النسائی، سنن ابن ماجہ)
مَنْ أَحْدَثَ فِي أَمْرِنَا هَذَا مَا لَيْسَ مِنْهُ فَهُوَ رَدٌّ
· "جس شخص نے ہمارے اس دین میں کوئی ایسا نیا کام کیا جو اس میں سے نہیں ہے، تو وہ (ناقابل قبول اور) رد کر دیا جائے گا۔"
· (صحیح بخاری، صحیح مسلم)
En ayat aur hadees ko day ke pata chlta ha ke din ma kesi cheez ko add karna kaysa ha aur es ma gar kesi cjeez ko add karne per mumaneghat ki gaye hain , q ke deen complete ho chuka ha har wo cheez ko karne wali ha aur har wo cheez jo nahe karne wali ha Allah aur os ke Rasool S.A.W ne hame sub bata deya ha .
I hope ke mera ye post sub ko clear kar day ga. Es per kafi time lag geya ha mera tu plz ap sub es ko phar lay .