Search content
Sort by

Showing 8 of 8 results by love you all
Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
love you all
on 21/10/2023, 18:29:53 UTC
Bhai Prediction kasi ki bi 100% theak ni hoti han but ya inki video many dkahi inhy sy kha tha dollar 300 sy nichy jaye ga wo gya lakin ya temporary crack down ki wajah sy hva ha mary khyal say qakh ab Binance ma dollar 295 tak sale hu rha Open market ma han agar nichy jaye to achi bat han manghai control ma ayy but ya inta easy ni ha mary raay yahi abi jo Establishment crack down kar rahi to Dollar neechy ay y ga our usk bad stable rhy ga our next government ay gi to our neechy bhi a skta hy 250 sy 270 k inky chances han k kuch time idhr ruky gy dakhty hy kia hota ha

Prediction to har kisi ki apni ek raye samajh len ke raye hoti ha. Os ma accuracy 100% bahut mushkil ha, balke youn kehle k zyada tar na mumkin ki had tak ja skti ha. Or Waqar zaka ki predictions kafi achi ha maine inko trading ma follow kiya ta bahut zabar10 qism ki prediction dete hain.

Mujhe aise lag rha ha ke dollar takqreeban 250 se neeche ni a skta ha kyounki ye to waqar zaka apne faida ka baaz auqat kehta ha shayad os ne kisi cheez ma investment ki ho. Aksar auqat aisa hota ha k ye jo youtubers hain ye kuch gain karne k liye afwah pehlate hain or wo cheez gain kar k dobara normal hojate hain.
Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
love you all
on 15/10/2023, 20:08:28 UTC
Massive Decrease in Petrol Price in Pakistan

Finally Some Relief For Pakistan People Cheesy

Pakistan Government just reduce petrol prices of RS.40 per litter in pakistan. Pakistan may petrol per litter Rs323.38 say kaam kr kay  Rs 283.80 per litre kr diya giya hay.

Yeh Faisla Pakistan ki caretaker government nay Dollar ki qadar kam huney kayy baad  kiya.  pakistan may majooda Dollar ki qeemat 277.57 Rs hay.

App kay mutaabiq kiya Petrol ki price or ziada kaam huni Chahhiye? Or Kitni Huni chahiye per Liter petrol in Pakistan?


Hamare manne se agar ho to hum to chahte hain ke petrol free ma mile.  Grin . Leken ye to mushkil ha, albata aisa ho sakta ha ke iski price taqreeban 250 tak aye leken Pakistani awam ma ek cheez ha ke ye petrol ki price 5 rs kam krte hain or 15 rs badhate hain. or Pakistani awam ko lagta ha ke badi kami hui ha Petrol price ma. Halanke dekha jaye to wo kam ni hoti.

Ab is dfa inhon ke price 40 rs kam ki ha or jab ye badhaenge to 60 rs badhaenge jo awaz ko bura ni lgega, leken jab abhi kam hui ha price to awam ko lag rha ha k price badi kam hogayi, halanke yahi petrol 178 rs ka milta ta leken ab humein ye 283 ma milega to oske hisab se is ma koi kami ni hui ha.
Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
love you all
on 14/10/2023, 17:33:48 UTC
Indian Bowlers perform outstanding at Narendra Modi Stadium in Ahmedabad

Aj world cup ka sab say important match kheila giya jis may india or Pakistan aik dusrey kay against kheili. India nay Pakistan ko one sided match hrayaa.

Pakistan fans ka kehna hay, ground may 1 Lakh 30 Hazar indian log majood thay jo sirf team India ko support kr rahey thay. Jis ki wajah say Pakistan ki team pay psychology kaafi pressure bana raha or Pakistan ki puri team 191 runs bna kr out huee.

Ap kay mutaabiq Pakistan ki is Haar ki kiaa wajah ho sakti hay.


Pakistan ki batting line up intehai kamzor dekhai de rahi ti aj ke match mai. In logon ki selection ka msla hi sabse bada masla ha, agar ye wo log select karen jo ke merit per ayen to sab ke sab ache players ko moqa mile, leken yahan per to kisi ka koi mama ka beta ha ya kisi ka koi chacha ka beta ha, jiski waja se Team ma fair players ki selection ni ho pati, or hamesha se isi waja se aham events ma Pakistani Team har jati ha, Netherlands ke khilaf ya Kenya jaisi teamon ke khilaf Pakistan ke sab ke sab khiladi 100 runs banate hain leken jab kisi badi team se match hota ha to sab unke saamne bebas dekhai dete hain.

Aj ke match harne ki waja hi yahi ha k inki selection hi kharab ha team ki, agar ye wo players ko moqa den jo bade ache players hain jaise ke Saim Ayub misal ke tor per, to ye Team kafi behtar ho sakti hai.
Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
love you all
on 11/10/2023, 19:07:41 UTC

Kia haal kar diya is mulk ka zalimo ne,yahni ab baat yahan tak ponch gai,ke ab bank be logon ke paisy le kar bhag rahy hain.pehly hi bary bary ohdon per baity howy tamam log is mulk se paisy le kar bhag chuky hain,na koi qanoon harkat main aaya na kisi se recovery howi ,na kisi ko saza howi,

isleye bankon ne socha ho ga ke jab qanoon aur saza hai hi nahin to pir hum bhi behti ganga main haath dho lety hain.main bank ko belkul bhi qasoorwar nahin samajta balky is mulk ke nizaam ko,is mulk ke chalany walon ko,isky ,qanoon ke rakhwalon ko,hamary security idharon ko, parliament aur Assemblion main baity howy logon ko qasoor war samajta hon,kiyonky kisi ko bhi is mulk ke qanoon se dar hi nahin hai,kiyonky qanoon sirf ghareeb ke leye hai.ameer ,aur taqatwer log qanoon ko katir main nahin laty.

pakistan main hamri jaanen mehfooz nahin hain pir paisa kahan mehfooz ho ga,ap ko kab koi nuqsaan ponchaye koi pata nahin chalta,na koi poochny wala hai aur na rokny wala hai.jab laqanoniyat arooj per ho to aap jahan bhi invest karen ge,aapko kauf ho ga,ke koi taqatwer aapka paisa zabardasti bhi le sakta hai.isleye dua karo ke Allah pak is mulk pakistan main islami qanoon ka nefaaz kary,jahan koi qanoon se baalater na ho,jahan ameer ,ghareeb dono ko qanoon ka kauf ho,jahan koi jurat na kary kisi ki jan o maal ko nuqsaan ponchany ki. 

Asal ma ye hamare gunahon ki saza mil rahi ha humein. Q k, hum hi in sab ko vote de kar apna sar barah muqarar karte hain or akhir ma ye hum per hi zulm shuru kar dete hain. Yahan har dosra insan yahi chahta hai k wo khud kamyaab hojae or dosre marte hain to mare ya dosron ko nuqsaan pohunchta ha to pohunche. Kisi ma zara sa bhi ihsas ni ha, jis din is qom ma ihsas jaag ota os din ye qom sudhar sakti ha, or inko kamyaabi mil sakti ha.
Is mulk ma qanoon ha hi sirf ghreeeb k liye, ghreeb insan agar ghalti karta ha to ose saza di jati ha or baaz auqat ghalti nhi bhi karta pir bhi osko saza di jati ha jabke ameer insan agar ghalti bhi kare to osko maaf kar diya jata ha balke oski tarafdari ki jati ha jiska natija zulm k zariye se ghareebon per nikalta ha.
Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
love you all
on 10/10/2023, 17:59:12 UTC
Muje LED TV buy kerna hy. Can you please guide k yh china k led TV sastay atay hien, are they worth buying ?
Kisi ny chinese LED TV buy kia ?  Please tell me suggestions
Hmm brother Kaha pa lottery Lage haa 😜😂(kidding). Acha waisy SAB LED Chinese manufacture hote haa aur kuch categories Mai divide kiya howy hoty haa matlab Jo TCL, Samsung, LG, Haier etc ky liya hoty haa woh first class category wlay hoty haa aur Baki second aur third category waly first and second copy hoty haa jis pa inn brand ka logo lagwa ky ap ko sell kar rahy haa so apko display Sy maloom hojai ga ky iss Mai konsa pannel Laga Howa haa, so agr maire Rai ly toh first category waly ko buy Karly Kisi  brand ky electronic store sy buy Karly aur maire suggestions ky mutabiq TCL betr hoga but paisa zyada lagy ga so agr woh Nahi toh second category wala buy Karly MATLAB first copy Jo original Sy price Mai thoore km hote ha woh best haa otherwise thrid copy apko bilkul but Nahi Karna chahiya q ky woh chalta perta trash haa ik toh baikaar display aur doosra bohout jald kharab hota ha so bs yahi Cheez haa ab choice Apki haa.👍

Brand wali LED TV bohat expensive ati hein like 40 inch brand wali (andriod) will cost 90,000 aur wohi cheeze chinese stiker wali 38,000 Rs.

By the way, Haier ka brand kasia hy LED k liy ? Aur yeh Chang ruba ka brand kaisa hy ?

Brand wali LED TV apko 61,000 ma mil jaegi. Maine kuch website check kiye jahan per inki price maine dekhi leken price to 90,000 mujhe kahi nazar nahi ayi.
Haier ka brand to bahut acha ha, oski price taqreeban 36,000 se 40,000 ke dermayan ha or wo bhi 40 inch ki. Mere khayal ma ye apke liye behtar ha Brand LED TV se leken is ma ek masla ha ye Brand wali ki resolution thodi zyada ha jabke iski resolution thodi kam hogi oske muqable ma. Is ma apko black colour mil sakta ha. Or iski resolution 1920x1080 ha HD display ke saath.
Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Introduction
by
love you all
on 10/10/2023, 01:38:13 UTC
Hello BitcoinTalk community!

I'm Umair, and I'm excited to become a part of this forum. Cryptocurrencies have captured my interest, and I'm here to engage, learn, and exchange insights with all of you.

Excited to be a member of this community, and I'm looking forward to some great discussions!

Regards,
Umair

Asslm O Alaikum Bhai, kaise hain ap? Umeed ha apko yahan bahut faida hoga, apko koi masla ho to yahan per hum saare ek dosre ki madad karte hain. BitcoinTalk ke zariye se log ek dosri ki madad karte hain, kisi bhi cheez ke bare ma ap poch sakte hain yahan per agar apke zehen ma koi sawal ho.
Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
love you all
on 09/10/2023, 11:23:06 UTC
Aslamoalaiikum Pakistan community;
Welcome koi kar ke tho be acha , na kare thi hum ben bullae mehman hai.
Wailukum o asalam
bro wellcom pakistani camunity main khushamded hum yahan seek rahy hain aur inshallah apko b bahot kuch seekny ka moka mely ga allah kamyab kary

Ameen, brother bahut achi baat ha. Mai yahan kuch seekhne k liye aya hun. Ta k yahan kuch seekhun, umeed ha k hum sab apas ma kaam kar ke bahut kuch seekh sakte hain or saath ma kaam kar k bahut maza ayega.
Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
love you all
on 07/10/2023, 20:38:18 UTC
Aslamoalaiikum Pakistan community;

Seedhe seedhe bath karta ho k yaha ka ek member ne invite kia ha muje magar us ne kaha k name mera na bthana k ye decentralized forum hai aur baad ma masail kare hothe hai.

Mai Bitcoin ko ache tarah jantha hoo, trading bee kii hai aur b knowledge kia hai. Mere dost ne kaha k knowledge tho ap k pas wese b hai thi kuch na kuch Pakistan community ko faida  hoga tho bas account ma ne month pehle bnaya aur ma ne post nahe kia. ab post kar raha ho. Bitcointalk k rules se mai waqif hoo, ha jaha ghalti ho tho sab ko ejazat hai, recently member ki tarah bura nahe manoga aur ha ye image wagera lagana aur ye coding ka muje nahe pata ye ap logo se seekhonga aur us dost se bi. Welcome koi kar ke tho be acha , na kare thi hum ben bullae mehman hai.