Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
nidacoinlove
on 18/02/2023, 19:23:24 UTC

Patrol 272 ka hy aur aj bhe sarkon py garion ka rush joun ka tou hy. Ise wajha sa government bila kise khof ka rates ma izafa kr rhe hy. Kyunka usa maloom hy ka agya sa koe reaction nhi ana.
Hakumat hum logo ko aik aik chapair day k daik chuki hay or ssat he saat aik middle class or mazdurkar tabkay ko itna uljha chuki hy k wo apni do waqk ke rozi payda krnay may phasa hua hay. Pehlay he log bohat pareshan-hall hain. Woh kehtay hain na k Qamayat k din hr aik banda apni fikr may laga hoga, ALLAH maaf karay lekin hum tau jaisay marnay say pehlay he Qayamat ke jhalak daikh rahay hain. Gas 124% mehanga honay wala hy. Ab in halaat may bnda niklay bhe tau kaysay niklay. Dosar nikalta bhe bnda kisi ke qayadat may hay or hum subko maloom hy k hamari sub syasi parties ke haqeeqat kya hy.

Quote
Susan Wojcicki youtube ke 10 years tk CEO rehna ky baad ab finally step down kr rhe hn. Aur unka jagha Neal Mohan ko youtube ke new ceo nominate kea gya hy. Neal Mohan American based Indian hy. India ko ya credit jata hy ky dunya ke top companies ka kafi zayda head Indian hota hn. Hum bus India sa Wagha Border py tangan uthana ma agya hn..
Is ke wajha bhe arz karta chalun India ke priorties as a nation defined hay woh sirf apnay mulk ka soch kr kaam krtay hay phir chahay wo taleemi nisab ho ya zindagi ka koe or shoba ho. Hum roz-e-awwal say oor mulko k dabao may ya phir Dollars k panay ke lalach may faislay kartay aa rahay hain, jiska bhayanak anjaam ajj hamay daikhnay ko mil raha hy.