Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 1 from 1 user
Re: Pakistan
by
MusaPk
on 03/04/2023, 08:06:16 UTC
⭐ Merited by ZAINmalik75 (1)
Waisy Easypaisa, JazzCash ki baaty ho hi rahy hai toh ma abhi ik sawal arz karna chahunga ,

Woh yeh ky aksr okaat yeh JazzCash aur easypaisa waaly apko loan daity hai, jis par woh har week charge karty hai, jitna amount zyada utna weekly zyada charge hota hai.
Toh AP logo ki nazr ma yeh charges kaisy hai , Kya yeh interest ky zamray ma aaty haa ya due to currency devaluation yeh charge karty hai


Agr daikha Jai toh easypaisa ky paisy Wohi ky Wohi pary hoty hai par unko weekly USS pa profit milta rahta hai
But agr doosre taraf daikha Jai toh currency har din devalue hote hai, toh jab unho my apko Jo amount diyaa ta agr Wohi amount AP unko 2 month Baad return karty hai toh unn paiso ki inflation ki wajah sy woh value baki nahi rahti toh yeh ik qism ka unka nuksaan haa. Toh bazahir yeh ik durst laghta hai weekly charge karna.

Baki AP logo ki Kya Rai haa, agr ma ghalta hu toh mare rehnumai kary

Zain Malik ya kafi technical question hy aur ap na is question ke do wazahat bhe da dea hn. Ma na kuch din pehla eik video dakhi the jis ma Mufti Tariq Masood sahib farma rhay hn ka INSTALLEMENTS py cheezan dena halal hy. Kyunka jo banda qistoon py cheez dy rha hy us na to maal cash py uthya hy aur us ko return saal baad mil rha hy. Is hisab sa wo jo profit charge kr rha hy wo theak hy.
Yahi scenario Jazz Cash ya degar services py lago hota hy ka wo apko jo raqm dy rhya hn wo unko to kuch time ka baad mil rhe hy. Jis ke wajha sa agr unko vohi raqm mila to unka kafi huqsaan ho ga.