MusaPk
Woh yeh ky aksr okaat yeh JazzCash aur easypaisa waaly apko loan daity hai, jis par woh har week charge karty hai, jitna amount zyada utna weekly zyada charge hota hai.
Toh AP logo ki nazr ma yeh charges kaisy hai , Kya yeh interest ky zamray ma aaty haa ya due to currency devaluation yeh charge karty haiAgr daikha Jai toh easypaisa ky paisy Wohi ky Wohi pary hoty hai par unko weekly USS pa profit milta rahta hai
But agr doosre taraf daikha Jai toh currency har din devalue hote hai, toh jab unho my apko Jo amount diyaa ta agr Wohi amount AP unko 2 month Baad return karty hai toh unn paiso ki inflation ki wajah sy woh value baki nahi rahti toh yeh ik qism ka unka nuksaan haa. Toh bazahir yeh ik durst laghta hai weekly charge karna.
Baki AP logo ki Kya Rai haa, agr ma ghalta hu toh mare rehnumai karyyaha easypaisa aur bank system mai currency k badle currency de jathe baghair kisi ewaz ko jo k mamnoo aur Haram hai .
Assalamualaikum sabhi bahiyon ko G bilkul galdi bahi AP bilkul theek kahrahien hain me is ko explain karta hun
Islam mai jo sood ki shart hai wo ye hai k agr kisi cheez ki jins ek hai to wo km k badle zyada dena ya lena sood hai. Maslan paise k badle paisa gandam k badle gandam, bike k badle bike
Or sood mai udhar shart hai. Naqad lene or dene mai sood nhi hota. Misaal k tor pr agr ap kisi ko 1000 rupe de kr kaho k 1 mahine baad mje 1200 lota dena to wo 200 sood ho ga. or agr ap 40000 ki bike de k kaho k mje 2 mahino bad 50000 ki bike de dena to ooper wala 10000 sood ho ga. lekin agar ap 40000 ki bike qiston pe 50000 ki le rhe ho to wo sood nhi ho ga kyun k le ap bike rhe ho or de pese rhe ho dono ki jins ek nhi hai is liye ye sood nhi ho ga.
Agr ap bank se qarz lete ho or qiston pe adaa krte ho or 30000 k badle 35000 pay kro ge to 5000 sood ho ga kyun k ap pese k badle pesa de rhe ho yahan par lene or dene wali cheez ki Jins ek hai.
Isi tra agr ap 10 lakh ki car lete ho pr qiston pr ap ne 12 lakh ada krna hai to wo sood nhi hai kyun k yahan pe lene or dene wali cheez ki jins ek nhi hai.
Isi tra jb sim se 20 rupe advance le kr 23 ya 15 rupe k badle 18 katwaye jate hain jo k sood ki ek qism hai. is mai udhar bhi hai or pese k badle pesa b hai.
Or Kya Qiston par koi cheez khareedna sood hai?Hamare boht se dost is bare mai double minded rehte hain k kya qiston pr koi cheez maslan Car, Bike, Washing Machine, Freezer or Air Cooler waghera khareedna sood to nhi?
To dosto Islam mai Qiston pr koi cheez lena mana nhi hai or na hi ye sood ki koi qism hai or is bat ko b or Sara explain kardiya hai or ye Mera farzatha ka sabhi bahiyon tak ye information pahchani umeed karta hum AP ko zaror rehnamai Hogi Allah pak ham sab ko Sood Sy door rakhy.