Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
jenny56
on 29/04/2023, 16:08:02 UTC
Anmol Tajaweez

kisi dost ko karzzzz dainay se pehlay yeh soch len ke aap dono ko kho satke hain .
 apni yad dasht par bharosa nah karen, tamam mamlaat kaghaz par tehreer kar liya karen .
 jab aap ghar khareedna ya taamer karna chahtay hain to 3 ahem cheeze yaad rakhen؛ location, location, location .

kisi ko is ki mazdoori is ka kaam khatam honay se pehlay nah do .

apne jevan saathi ka intikhab ahthyat se karen kyunkay woh aap ki 90 feesad khushi ya na khushi ka zimma daar hai .

agar aap chahtay hain ke aap ka din acha guzray to der se nah soyen .

jab aap kisi dost ki car udhaar len to usay wapas karne se pehlay tail ki tanky bhar len ( aur behtar hai ke aap udhaar lainay ki aadat nah banayen ) .

mobile phone ko apni zindagi ke khobsorat lamhaat barbaad nah karne den, jaisa ke yeh phone aap ki sahoolat ke liye banaya gaya tha nah ke is ke liye jo aap ko cal ya msg karta hai .
 jab aap ki walida kehti hain ke aap ko aisa karne par pachtaawa ho ga, to aap aksar pachtae ge .
bahadur bano, aur agar tum bahadur nahi ho to bahadur ban'nay ka dikhawa karo, koi bhi farq mehsoos nahi kere ga .

Haqeeqat han Pakistan mein qarzz dar ap par do dafa ehsan karta aur jataata hai.Pehli dafa ehsan qarzah maangte hue jataata hai, yeh keh kar keh Waise to mujhe qarz dene wale bohat sare log hain magar banda banday ko dekh kar hi qarz maangta hai. Ab har airey ghairay se to banda yeh baatein nahi kar sakta.
Yeh baat keh kar woh aapke ander yaktai ka ehsas aur achai ka aisa jazba bhar deta hai ke dil karta hai ke isko qarzah nahi balkay yeh paise sadqahatayn diye jayen.
Dusri dafa ehsan woh aapke bar bar qarzah wapas maangne par muqarrar tareekh ke ek do saal baad qarzah wapas dete hue jataata hai, yeh keh kar keh, Qasam se ghar mein bimar bhi thay. Ghee rashan ki tangi bhi thi aur teen char aur log bhi thay jinke qarzay wapas karne thay lekin mein ne kaha ke nahi sab se pehle apka qarz chukana zaroori hai kyunke woh bohat achay insan hone ke sath sath bimar bhi hain. Aur aap ehsanmandi aur darr ki mili juli khafeet mein paise jeb mein daalte hue kehte ho ke, Agar zarurat hai to wapas rakh lejiye