Hukamot pdm ne 2022 April mein sambhali ,das arab dollar Pakistan ke haath mein thay, jatay jatay selected hukoomat imf se muahiday toar chuki thi, jis ki wajah se maali bohraan sir par latak raha tha, June 2022 se June 23 tak 24 arab dollar ki adayigyan / warz laazmi karni theen warna bank corrupt matlab Pakistan ne dewalia hojana tha, pdm ne siyasi hungamon dewalia pan ki ladkhadte talwar ke saaye mein apni siyasat ko dao par laga kar hukoomat snhbali , maali saal 2023 ko poora honay mein abhi taqreeban 2 mah baqi hain, 11 arab dollar cash qarz adaigi hochuki, 6 arab dollar Qarz ree schedule hue, 3 arab dollar mzid ree schedule par baat chal rahi hai, aur March tak 19 arab dollar tijarti khasaray mein bachat ki hai, baqi teen arab dollar qarz ka bhi bandobast hojaye ga is par kaam ho raha hai.
Pdm k bad Sb sy main issue ya han Yuganda ki fauj ko aap koi bhi naam de sakte hain siwaye fauj ke. Yeh duniya mein sab se zyada property ka business karte hain aur iss waqt darjano chhoti badi societies baik waqt chala rahe hain, iss liye aap unhein property dealer keh sakte hain. Yeh duniya mein iss waqt sab se zyada army public school, army nursery aur army children school ke naam se seenkron school chala rahe hain, iss liye aap unhein business main keh sakte hain. Yeh iss waqt darjano chhote bade army hospitals chala rahe hain, iss liye aap unhein munjhe hue ameer investor keh sakte hain.
Yuganda ki fauj ka record hai keh yeh kabhi koi jung nahin jeet sake siwaye un jungon ke jo unhon ne apni awaam ke khilaf lari hain. Aap yeh samjhein keh Yuganda mein koi idara ya koi munafa bakhsh karobar iss waqt tak nahin chal sakta jab tak wahan ki fauj iss mein shamil na ho, yeh biscuit banane se lekar fawji cement tak aur phir khelon ka samaan banane se lekar fawji jahazon tak, sab kuch khud banate aur chalate hain. Dilchasp baat yeh hai keh Yuganda ka koi bhi general ya army chief retired hone ke baad apne mulk mein kabhi nahin rehta, woh issi waqt hamesha ke liye bahar mulk chala jata hai. Suna hai ab Yuganda ki awam ne unhein sabak sikhane ka irada kar liya hai, wahan ki awam ka kehna hai keh jab kabhi kisi dushman mulk se jung hui to hum neutral rahenge kyun ke hamare naseeb mein to ghulami hi likhi hui hai phir woh dushman mulk ki ho ya dost mulk ki.umeed han Ap smaj gye hu gy.