Bai agar Metamask aur trust wallet banned kar de tho Kiwi aur Mises browser mai extension use kia ja sakta hai wo etna big issue nahe hai.
Ek aur browser
Lemur bhi hai. Yeh bhi extensions ki himayat karta hai.
Ji yehi nai bhai is ky ilawa bhi hai.
Yandex Browser. Or naa sirf ye balky is browser ki or bhi iqsam hen yani
Yandex Alpha or
Yandex Beta. Yani ye sari extensions ko support karti hen.
Aag lagi hy basti ma government apni masti ma.
Government apna to billions ka corruption cases maaf kra rhe hy aur dosri trf logon ko cryptocurrency sa rok rhe hy ky ya fraud hy aur illegal activities ka lea use hota hy. Government ko chahya ka wo iska usage ky koe rules and regulations bnya pr itni mehnat kon kra. Asan hal hy ky cryptocurrency ko he ban kr do. Na rhya ga bans, na bajya ge Bansuri.
Asal my bhai hukumat ko apna faida nai nazar araha hai. Logon ko agar kuch kmai mil hi rahi thi to wo crypto Market hi thi. Or jab log khud kama rahy hen or Hukumat ko koi faida nai ho raha hai to wo ye qadam uthaye gi hi. Chalen maan lety hen ky money laundering hui to Binance sy wo addresses mang kar un bando ko pakra jaa skta hai lekn nai sari industry hi ban karni hai. Agar in ko kuch mil jata yani crypto exchanges kuch pay karny lag jaty to in ko bohat sukun hona tha.
Har hukumat kaa yehi haal hai. Jahan mily basss lapet lo.