Asal my bhai hukumat ko apna faida nai nazar araha hai. Logon ko agar kuch kmai mil hi rahi thi to wo crypto Market hi thi. Or jab log khud kama rahy hen or Hukumat ko koi faida nai ho raha hai to wo ye qadam uthaye gi hi. Chalen maan lety hen ky money laundering hui to Binance sy wo addresses mang kar un bando ko pakra jaa skta hai lekn nai sari industry hi ban karni hai. Agar in ko kuch mil jata yani crypto exchanges kuch pay karny lag jaty to in ko bohat sukun hona tha.
Har hukumat kaa yehi haal hai. Jahan mily basss lapet lo.
Binance sa government of Pakistan na details mangi theen crypto users of Pakistan ke. Wo to bhala ho CZ Pakistani nhi tha varna company na uski bhe audio video leak kr ky us sa details ly lani thi. Binance na government of Pakistan ky saath cooperate krna sa inkar kea hy jis py ya log ghusa ma a gya hn. Dekhta hn government kis tarah ban krti hy crypto ko Pakistan ma. Kyunka p2p wallet transfer ko to koe bhe block nhi kr saqta.