Pakistan mein aam tor par ek trend hai "Committee Daalna" aur Pakistan se bahar jo log gaye hain unhone bhi wahan par bachat ka yeh tariqa apnaya hua hai. Ek sallery wly prrdon ke liye yeh achi hikmat amli ho sakti hai magar salllo se jari is tariqe se hat kar ab kuch aur sochna chahiye. Jaise maine yeh socha ke apne kuch dostoon se bohat chhoti si raqam collect ki jaye aur ise munasib jagah par 6 mahine se ek saal ke liye invest kar diya jaye ya kisi karobari dost ke saath shareekati kar li jaye.
Is tareeqe se ek shakhs ko karobar ke liye sermaye bhi mil jata hai aur apki bachat bhi mehfooz rehti hai aur is tariqe se uski growth ke bhi chances hote hain jo ke committee mein bilkul nahi ho sakte. Kuch log kehte hain ke yeh risk hai, toh main unse kehta hun ke har mahine jo raqam kisi bande ke hawale kar rahe hain woh bhi toh risk hai aur apko kisi par toh bharosa karna hi parta hai aur agar apke ass pss ke koi bande bhi qabil bharosa nahi toh apko khud ko badalne ki zarorat hai. Iske hawale se ho sakta hai ane wale dino mein mazeed shafiqat ho sake ya kaam ki samajh ajaye ya kuch naya seekhne ko mil jaye. Apki raye kya hai?
Hazrat ap ny jo raaye di or phr bharosy ki bat jo ap ny ki wo har koi nai kar sakta or karna bohat mushkil hota hai. Kameti my kaya hota hai ap ky hi jama kiye huwe pesy hi ap ko wapis milty hen lekn jo ap keh rahy hen uss my jiss karobari bandy ko ap ny sarmaya muyassar karna hai uss ko loss hota hai yaa wo ap sy galat bayani kary to ap kaya karen gy?.
Or rahi bat risk ki to salary wala banda hmesha risk leny sy darta hai kiu ky wo uss ki mahiny bhar ki kmai hoti hai.