Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
MusaPk
on 10/06/2023, 06:42:30 UTC
Naye budget ke mutabiq ITD (Income Tax Department) ke upar dastiya 2.5% riayati tax ki sahulat mazed 3 saal tak jari rahegi. IT services Provide karne wale idaray 50 hazaar dollar tak ke software aur hardware bina tax income kar sakenge.

Wazir Khazana Ishaq Dar ka kehna tha ke agle saal 50 hazaar IT graduates ko fani tarbiyat bhi di jayegi.
Is ke ilawah Ishaq Dar ne budget pesh karte hue ilan kiya ke taleem ke liye 82 arab rupay jabke sehat ke liye 26 arab rupay rakhe ja rahe hain, science aur IT ke liye 34 arab rupay aur pedawari shobhay ke liye 50 arab rupay mukhtas kiye hain
 Source: https://gnnhd.tv/news/21187/federal-budget-2023-24-it-sector-receives-sme-status-freelancers-get-tax-relief

22 crore ke population ke education ka lea 82 Arab aur sehat ka lea 26 Arab. Apke kya rai hy ka kya ya munasib paisa rakha hy government na. Meri rai ma hr government education aur sehat ko ignore krti hy.
Suna hy government na sehat card bnd kr dea hy aur Media ko sehat card jari kr dea hy. Strategy check krn. Media kush ho ga to sub acha ho ga.



Bad news for Solana, Polygon and Cardano

USA ke Robinhood (HOOD) exchange na Solana, Polygon aur Cardona ko 27 Jun 2023 ko delist krna ka faisla kr lea hy. Ya faisla is tanuzar ma kea gya hy kyunka SEC na inko unregistered securities declare kea hy.

Is news ka ana ka baad in teeno tokens ke price ma boht zayda kami dekhna ma ayi hy.

Solana jo eik week pehla 21 py tha ab 14$ py a gya hy.

Polygon jo eik week pehla 0.9 py tha ab 0.6$ py a gya hy.

Cardano jo eik week pehla 0.37 py tha ab 0.24$ py a gya hy.

Polygon ka down hona ka direct impact Funcoin karobar py ho ga. Kyunka Funcoin karobar ke almost sari investment Polygon ma hue hy.