Ok, yani ap k nazdeek agar ye niyat na ho aur per kisi haram cheez ko advertise kare tho we jaiz ha. Am i right?
Han ap ki niyat honi chayee paisa lena ki company c, advertisment ki niyat na ho.
Advertisement yeh hoti hy k kosish kerna k zada c zada log aus cheeze ko istimal kerian jaisay affiliating marketing mein hum logon ko convenience kertay hen k woh product buy kerian.
Ok tho ap ki batho se kuch bathe sabit hogae. ek ye k advertising chahe ap haram be kare magar paisa lethe waqt uski niyat na kare.
dosra ye k agar ap us company ka ads b lagae ikhtiari tor par maagr ap apne neyat se kisi ko convince na kare tho wo sahi ha. am i right?
App jis andaz c meray c sawal pooch rahay ho aur meray c "Right" "OK" "OK" kerwa rahay ho, lagtha hay k koi barda parcha katnay walay ho meray kalif. Allah Khair hi keray

Lagtha hay ais bar app solid evidence k sath meray p attach kero gay

By the way, App logon mein c koi bunda Website chala raha hy ya kisi ko pata hay k website rank kaisay kerwatay hien ? Kahan c keyword research kertay hien ? Koi acha mentor hy ? Kis cheeze c relevant blog banana chayee ? Agar koi alreay website p kaam kr rahay hy tu apna earning experience bhi share keray.