Ji junaid bhai aap belkul theek keh rahy hain ke ye crypto currency market hai yahan kuch bhi ho sakta hai.aur rahi baat history ko nazar andaz karna,to bahi ye bat teek hai ke zarori nahin ke wahi ho jo pechli dafa howa ho,magar main is baat ko kabhi nazar andaaz nahin karon ga jo kahi dafa howa ho.aap risk le sakte ho ,magar logon ki aksariyat history se andaza laga kar mustaqbil ki hikmate amli banate hain.
Ma ap ki bat se against nahe hun sir ap ki bat bilkul tek ha ma tubs apna view bta raha hun ke hum sub ko pata ha ke crypto world ketna volatile ha yahn per hame kuch be andaza nahe hota ke next kia hoga tu esi waja se ma ne ye keh deia ha ke may be es dafaa aysa hojaye ke wo historical legacy ko foolow he na kaare aur ek new way bana de . Possibilty ho sakti ha due to its volatility.
Brother mainbelkul bhi ye nahin kehta ke aap mery baat ke against ho,Balkey her aik ki apni soch aur nazraya hota hai,aur her aik ko ye haq hasil hai key wo apna apna nazreeya aur soch ko share kary taky dosry logon ke saat apny kyalaat ka tabadla kiya ja saky ,aur esi tara hamary mahloomat main izafa hota rehta hai.apka mery nazreeye ya kyalaat se mutafiq hona zarori nahi.
Han apki baat sahi hai ye crypto volatile market hai,yahan kuch bhi ho sakta hai.jahan log market ke girny ka kehty hai aksar market ooper chali jati hai,aur jab zyada log market ke ooper jany ki peshan goi karty hai to market gir jati hai.ye zarori nahin aur na is baat ki guaranty di ja sakti hai ke jo pechli dafa howa hai wo her soorat dobara ho ga.ho sakta hai is dafa kuch naya ho jay.hamen her taraf se dehan dena ho ga aur kud ko tayaar rakhna ho ga.