Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
love you all
on 11/10/2023, 19:07:41 UTC

Kia haal kar diya is mulk ka zalimo ne,yahni ab baat yahan tak ponch gai,ke ab bank be logon ke paisy le kar bhag rahy hain.pehly hi bary bary ohdon per baity howy tamam log is mulk se paisy le kar bhag chuky hain,na koi qanoon harkat main aaya na kisi se recovery howi ,na kisi ko saza howi,

isleye bankon ne socha ho ga ke jab qanoon aur saza hai hi nahin to pir hum bhi behti ganga main haath dho lety hain.main bank ko belkul bhi qasoorwar nahin samajta balky is mulk ke nizaam ko,is mulk ke chalany walon ko,isky ,qanoon ke rakhwalon ko,hamary security idharon ko, parliament aur Assemblion main baity howy logon ko qasoor war samajta hon,kiyonky kisi ko bhi is mulk ke qanoon se dar hi nahin hai,kiyonky qanoon sirf ghareeb ke leye hai.ameer ,aur taqatwer log qanoon ko katir main nahin laty.

pakistan main hamri jaanen mehfooz nahin hain pir paisa kahan mehfooz ho ga,ap ko kab koi nuqsaan ponchaye koi pata nahin chalta,na koi poochny wala hai aur na rokny wala hai.jab laqanoniyat arooj per ho to aap jahan bhi invest karen ge,aapko kauf ho ga,ke koi taqatwer aapka paisa zabardasti bhi le sakta hai.isleye dua karo ke Allah pak is mulk pakistan main islami qanoon ka nefaaz kary,jahan koi qanoon se baalater na ho,jahan ameer ,ghareeb dono ko qanoon ka kauf ho,jahan koi jurat na kary kisi ki jan o maal ko nuqsaan ponchany ki. 

Asal ma ye hamare gunahon ki saza mil rahi ha humein. Q k, hum hi in sab ko vote de kar apna sar barah muqarar karte hain or akhir ma ye hum per hi zulm shuru kar dete hain. Yahan har dosra insan yahi chahta hai k wo khud kamyaab hojae or dosre marte hain to mare ya dosron ko nuqsaan pohunchta ha to pohunche. Kisi ma zara sa bhi ihsas ni ha, jis din is qom ma ihsas jaag ota os din ye qom sudhar sakti ha, or inko kamyaabi mil sakti ha.
Is mulk ma qanoon ha hi sirf ghreeeb k liye, ghreeb insan agar ghalti karta ha to ose saza di jati ha or baaz auqat ghalti nhi bhi karta pir bhi osko saza di jati ha jabke ameer insan agar ghalti bhi kare to osko maaf kar diya jata ha balke oski tarafdari ki jati ha jiska natija zulm k zariye se ghareebon per nikalta ha.