Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Gladitorcomeback
on 14/10/2023, 12:14:02 UTC
Aj 12 ODI jo k Narendra Modi Ahmad Abad stadium ma India aur Pakistan k darmyan match khela jyga jis ma kafi tadad ma tamashai nazar aygi q k apko pata he hy jab b India or Pakistan k darmyan match hota hy kasdeer tadad ma log match sy lutf andoz hony k lie aty hain

Jab naam narendar ka hai tho per faida b narender ki team ko hoga. tamashai tho kaafi tadad ma nazar ae magar har jaga blue he blue tha q k Pakistanio ko tho visa mil nahe raha tha tho yaqeen Indian wale chahe Muslim ho ya Kaafir India mulk ko hee support karega.

  agar barish ki waja sy match par asar parhta hy toh faida konsi team ko jyga babar azam b kafi pur umeed dekhai dy rahy hain or dusri taraf India Australlia ko Chennai or Afghanistan ko Delhi ma harany k bad barha he taqatwar dekhai dy raha hy

Babar azam 2002 ki soch ma chal raha hai k 250 runs banao aur per defend karo. ab match kaafi tez ho chuke hai. sab ko kusal mendis banna parega. out tho wese b hona ha chahe stop kar k ya hit kar k tho w na bahadri ka muzahra kia jae. Jis tarah aj koi b Pakistani player big hit par out nahe huwa sab k sab block k chakar ma the.



Good work Hondacd125, ye apka post ma bookmark kar detha hoo w k es ma urdu mai ap ne rules lekh lie ha saare aur Newbie's k liye ye best rahe ga k bar bar un ko lekhna na pare k ye ye rules hai. agar hamara apna board hotha tho kaafi asani hothe