Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 2 from 1 user
Re: Pakistan
by
Gladitorcomeback
on 04/11/2023, 01:57:50 UTC
⭐ Merited by hugeblack (2)

So different ulmaah ka isky baary Mai different bayanaat haa Forex ka toh mostly log Haram kehh raha haa ab yeh maloom Nahi q, but agr future trading Ki baat kary toh koi halal kehh raha haa toh koi Haram toh ab hum confused ha kis Ki taraf jai. Agr apny ilaky ky ulmaah Sy poochy toh woh iss Cheez pa zyada knwoledge Nahi rakhty so USS sy toh pooch Nahi skaty Baki ap thoora explain kardy ky apki rai Mai Forex aur future trading kaisee haa, agr thoore ahadees aur quraan Ki roshini Mai explain kardy toh Kal Kisi ko proof dainy ya smajny Mai ya khud samajny Mai asani Hoge

Forex ka tho muje base ka pata nahe aur abe time nahe hai, per bad ma kabe es ma discussion karte hai. Future trading ki bath kare tho uska basic janna parega. in sample words ye ek qisam ki prediction ha jo ap karte ha k kisi coin ki price opar jaegee ya neeche. sahee ki soorat ma apka coin ziada hoga aur ghalat ko sorrat ma kam. baqi us ma different leverage ha jo ap apne risk k hesab se ke sakte hai. ab yaha par kuch log eski loan k sath direct karte hai k exchange ham ko loan detha hai per ham us se buy karte ha aur jab ham ko loss hotha ha tho wo exchange ham se loan wapas letha ha es liye liquidate ho jathe hai

ab yaha par bunyadi bath jo haram ha wo ye k ap kisi coin ko Short karo aur jitna token neeche jaega apko profit hotha jaega. ab ye cheez Islam k kisi b tijarat ma koi sabit kar de k ap k cheez ko qeemat down ho rahe aur apko profit ho raha. Ye Belkul sabit karta ha k ye saara system prediction ka hai, es se ziada kuch nahe. ab ye swal paida hotha ha k agar ham short na ke balke sirf long kare tho bhai short se es ka basics maloom hogia k ye kis tarah kaam karta tho long b esi zemre ma aatha ha. Esko ap shart, juwa se tashbeeh de sakte hai jo k already haram hona sabit hai uska.

Baqi rahe Quran aur ahadees ki bath tho bhai Quran o Hadees ma kuliyat bian hothe ha, juziat fiqh ma bayan hothe hai. jab b kisi cheez k halal , haram ki behes ki jae tho Fiqh ki taraf rujoo hotha hai. Quran o hadees se tho ham apne nemaz b shahid poore sabit na kar pae. Jaise speed=distance/time  ye ek kuliya (Qaeda)ha ab es ma jo b neeche sawal aega wo juzia kehlata ha. ab agar koi kahe k muje Quran o hadees ma dekhae k distance 300 meter ho aur Time 50 second ho tho ye tho mumkin nahe.

Ye sirf ek wajae hurmat ma ne Bian kia jo I think k kaafi ha, es k ek aur b  waja ha, jaise amr mubham par bae karna k maal hai nahe aur utna ap trade kar rahe magar esko wo loan se tashbeeh dethe hai.