Han g, mujhe pata hy k halal income k liey halal kaam kerna sab c pheli shart hy but mein bitcointalk c income ki baat kr raha hon jis mein hum sirf posts kr saktien hein.
Yahan app juwa ni khel saktay aur na hi sharab phi saktein hein aur na hi future trade kr sakein hein. Juwa kerna k liey app ko gambling site p jana hoga, Sarab k liey apny kisi nazdeki hotel p jien aur future trading k liey binance ya kisi platfrom k jana zararoi hy.
Mein BITCOINTALK c halal income ki baat kr raaha hon jo hum posting k through kertay hien. Aisi mein meine start mein kaaha k real life ka hume ni pata k kon kia kerta hy, Bitcointalk posting jitnay bhi bhai kr rahay hein, sab halal income kama rahay hien.
G Umer bhai , posting ma b dekha jaega k ap jo signature wear kar rahe ho yani jis ko ap promote kar rahe hai uska project ka kaam aisa tho nahe jo Shariat ma mukammal taur par haram hai jaise gambling site ko agar ham promote kare tho ye b jaiz nahe hai. Es pe kaafi discussion ho chukee so no need to repeat it again. baqi signature posting ma koi isuue nahe hai. wese Bitcointalk ma b kaafi 2 number kam se haram kia ja sakta hai jaise jo lend le le ya de de interest par. esi tarah lend es neyat se lena k wapas nahe karonga. Entry cricket start khelna jis ma participants funds jama kare aur winner ko inaam jae.
<SNIP>
Well ap ny achy sy explained Kiya but bohout ulmaah isse reason Sy ussy Haram Nahi keh rahy ha Balky sab ky different reasons haa but at the end jis Cheez Mai apko clarity na ho filhaal us Sy door rehna behtr hoga. Baki community ky aur members Hamza2424 , faisal2202, sayed56, themepen etc apki Kya Rai haa inn future aur Forex trading ky baary Mai . As kuch log issy Isliya Haram kehh rahy haa ky ap ko uss pa trade kuch waqt ky baad kuch fees daine parte haa but apko batata chalu ky woh exchange Nahi laita Balky woh short long walo mai distribute hota haa toh yaha paisy pa interest wala scene bhi faigh hota ha, so Baki ap log apni suggestions dy
G Zainmalik75 es k hurmat k kaafi wujoohat ha aur esko halal bnane k liye kaafi taleelat karne parege jo k muft ma etna door jana hai. zahiran yahi ha k eska system sahee nahe. agar mustaqbil ma eski koi aur system aaya tho us k mutabiq dekha jaega filhal es se bachna zarori hai