“You never change things by fighting the existing reality.
To change something, build a new model that makes the existing model obsolete.”
― Buckminster Fuller
Brother Dunya bahot aagy ja rahi hai,aur taraqi ki manazil teh karti ja rahi hai.aur Dubai to dubai hai.international mayaar ka shaher jahan mery khayal main dunya ke maximum log yahni her mulk ke log aaty jaaty hon gy.aur taraqi ke lehaaz se bahot aagy hai.wo apny wasahil se bharpoor faida utha rahy hain.aur kisi bhi muhamly main dunya se peechy nahin hain.
Magar jab apny mulk ke halaat daikty hain to samaj nahin aati ke dunya kis taraf ja rahi hai aur hum kahan ja rahy hain.un ki apny mulk se muhabat daiko dunya ki jadeed se jadeed technology la rahi hai.itni taraqi ke bawajood bhi mazeed taraqi ki soch rakhty hain.aur hamari halat jaisy dunya se 500 saal peechy hon,aur haqeeqat bhi yahi hai.pata nahin hum kab is ghulami se azaad hon gy ,aur apny mulk main bhi istara ki development daiken gy.
Brother, Ap ki feelings ko mein achi trh samjh sakta hon or Pakistan ka her well educated shakhs esi pareshani se dochar ha k hamari mulk ki koi direction hee nhi ha humari so called leadership ka na koi vision ha na hee mulk ko tarakki k rasty pe dalny ka koi long term plan ha.
Hum sub ko ek baat samjhna bht zaruri ha k status quo ko change kerny k liye jis ka fiaida sirf pakistan ki elite class ko hota ha bht lambi strggle kerni perti ha or bht sari qurbanian bi deni perti ha yeh history ka lesson ha.
https://www.goodreads.com/quotes/tag/revolution