Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Gladitorcomeback
on 21/11/2023, 13:31:57 UTC

Dosre bath ye k Sharab aur Juwa ek sath zikar huwe ha arbi harf Wao k sath aur arbi qaede k mutabiq en dono ka hukam ek ha. jis cheez ma sharab ki muminat ha wahi gambling ma b.
Assalamualaikum mery Bhai keye Hal chal hain, asha bahi discussion to Hoti rahy gi bahi jese sood deny wal aur leny Wala jahanmi hai wase gambling karny Wala be jahanmi hai ,
Bahi gambling ke signature k hiwalay Sy discussion Hoti rahti hai to sood ke example sabi phely dety hain sood ka to safa safa kaha gaya hai Leye aur deny Wala jahanmi hai keye juwa ( gambling ) karny Wala ko b jahanmi kaha gaya hai .

G compromise me , Shukar ha, sab teek tak ha aur umeed ha ap b kheriat se honge. G Gambling ya juwa haram hai, Quran ki nas aur Ahadees se. agar ek cheez haram ho aur baqi us k jahannam k baare ma zikar na b ho tho wo kaam qabile muzammat hotha ha. Jahnammi ka jo zekar hotha ha wo dukhoole awali k aetbar se ha warna tho jis k pas raee k daane k barabr b eeman ho tho wo Jannat ma jaega hadees ki ro se. Dunya ma haram cheezo se darna chaiye aur marte waqt Jannat ki umeed ho, inshaAllah Jannat hamare muntazir ha.

Juwe k baare ma ye hadees beliul wazih aur saaf ha.
Quote

وَعَنْهُ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «لَا يَدْخُلُ الْجَنَّةَ عَاقٌّ وَلَا قَمَّارٌ  وَلَا مَنَّانٌ وَلَا مُدْمِنُ خَمْرٍ» . رَوَاهُ الدَّارِمِيُّ وَفِي رِوَايَةٍ لَهُ: «وَلَا وَلَدَ زِنْيَةٍ» بَدَلَ «قمار»

Darmi ne esko rewayat kia hai k walidain na nafarman, Ihsan jatlane wala, juwa khelne wala aur  sharab peene wala Jannat ma dakhil na hoga.

Reference: 1) Book Mishkat ul Masabih, kitabul alhudood(Hadees no 3653)
2) Islam360 App
3: https://sunnah.com/mishkat:3653

Ye bahot sakht waeed ha q k yaha ye nahe lekha k jahannam ma dakhil hoga bal k ye lekha ha k jannat ma dakhil nahe hoga q k agar jahannam ma dukhool hotha tho per tho nekalna hotha magar yaha tho belkul Jannat he se mana kia gia ha. magar kher es ma hamare ullama zajar aur taubeekh k liye qarar dethe ha magar waeed bahot sakht hai.