World's fastest internet service and our internet
Asalam o alekum dosto : INTERNET hamari zindagi ki aham zarorat ban chuki hai,aur ham sub ki yahi kwahish hai ke hamara net behter se behter ho,kiyonky hamari bahot saary kamon ka daromadar INTERNET ke saat jura hai.magar badkismati se yahan hamary mulk main INTERNET ki haalat bahot kamzor hai. waisy to taraqi ki daur main dunya hum se bahot aagy hai,magar khabi khabi main sochta hon ke pakistan main zindagi ki aham kamon aur rozmara ki zaroraton main jis per bahot saary logon ka daromadaar aur rozgaar hai.os main bhi bahot peechy hai,is ko aap hukumrano ki inteha darjy ki nalaiqi aur behisi keh sakty hain,zaroorat ke waqat apka page nahin khulta,kaam karna to door ki baat hai,adhy ganty ka kaam aapko 5 ganton main karna parta hai,her aik network ki SIM apny pas rakhni ho gi,pata nahin chalta kis ki net kab kaam chor dy.
Walikumsalam Belkul Internet jo hai wo aj ky dor ma har jaga zarort hai aur jo be kam ho chahe wo website ho Bank ho jo cheez chalti hai wo sara kam internet pe chalta hai aur dosri bat hamare chahne se kuch be nahi hota agar hum chahe ky hum ye kary to wo nahi kar sakte hai aur rahi hamare country may to hamara country har cheez se peeche hai jaha par internet 4G hai waha pe 3G ajata hai aur jaha 4G ata be ho to waha kam 3G ka karta hai to jab hamare country may internet system sahi nahi hai baqi kiya taraki karega aur mazy ki bat ye hai ky yaha ek kamry ma zong ky signal chalenge aur dosre may telenor ka internet chalega to ab banda konsa internet use kary.
Ab dunya ki baat karty hain,aik khabar hai ke dunya ki tez tareen INTERNET service aagai hai.jahan aik second main 150 filmen download ki ja sakti hain,hamara aik page nahi kulta.ye amrica ya koi aur mulk nahin balky hamara parosi china hai.jo dunya ke doosry mumalik se 10 guna zyada tez ho ga.aur itni tez raftaar net speed dunya ke kisi aur mulk main maujood nahin hai.ab aap kud sochen ke china apny mulk aur awaam ke leye kitna mukhlis hai,isleye to wo taraqi kar rahy hain.
source Hamare country ky elewa jo be country hai wo bs aisy may lagy hai ky hum dosre country se agy nekal jaye tabhi tajraby karte hai aur kamyab ho jate hai ab insan souch ly jaha internet ka itna tez chalna ho waha har kam second ma hoga waha ky logo ko har kam may asani ho ab yaha pe to deka jaye hamare bank ky system sahi nahi waha pe be keh dete hai ky internet kam nahi karta hai awam ko to choro pehle ye Bank waghera ka system sahi kary ye behter hai ham ye taraki nhi kar sakte hai hamara pehle bijli ka system sahi nahi hai aisa kuch hai nahi jo hamare country us me agy ho ya sahi chalta ho. Bs dua kar sakte hai ky ALLAH PAK hamare mulk pe reham kary Ameen.