@Gladitorcomeback, app Publictalk792 ko sai c ni bataya ais liey woh conviunce ni huey. App c request hy k thori detail mein roshni dalein takay woh app ki batoon c mustafied ho sakein. Mujee tu @Gladitorcomeback ki batein kafi hadd tak sahi lagein thien.
Hahaha! Umer sir PHR to mery sath sath ap ko BHI samjny Ki zarurat Hy na. Kafi had tak baten thk lagi PHR ap ny BHI gambling signature hi wear Kiya huwa hy. MATLAB ap ko or mujy Dono ko hi Sai sy smjany Ki zarurat Hy. Hy naa?
Kher my pehly BHI Kaha Tha iss ko personal decision par chorna chahaye naa KY APNA Sochi Kissi par thomp di Jaye. Or mujy waqy hi my Jo mujy jwab drasal chahye Tha wo Kissi ny BHI nai Diya.
Na tho ye personal decision wala mamla ha air thompna ha. ye khulam khula 100% haram kam aur haram maal ha chahe koi maane ya na maane. ap jes qisam ke daleel mang rahe ha us k leye Nabi ﷺ ko dobara aana parega aur hadees bol k ap k sawal k mutabiq daleel dega. ap ka daleel mangne ka tariqa hee ghalat ha. Daleel apke marzi ka nahe hoga k jes tarah wo ayat ha es tarah ye ayat laao ya jes tarah us ma khulam khula lekha ha us tarah es ma b khulam khula wazahat ho. Mashroot daleel ka taqaza hee karna ghalat ha. baqi haram cheez ki advertising ki hurmat Quran, hadees, ijma aur qiyas se sabit ha aur es ma aj thak kisi b jaamate ullama ne ikhtilaf nahe kia. sab es ma ek platform par ha. ab aise khulam khula daleel l bawajood kehna k ye personal decision par depends hai tho es ko jahalat he kahege.
Ap k daleel mangne k mutabiq agar koi kahe k Quran paak ma maa bap ko uff kehne se tho mana ha magar marne ka zikar nahe ha es leye wo jaiz ha aur personal rae par depends ha tho esko bewaqoof he kahege q k kabe quran aur hadees se masla ebarat un nas hotha ha, kabe Dalalatun nas , kabe isharatun nas aur kabe iqtizaaon nas.