Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
MFahad
on 16/12/2023, 17:05:48 UTC
. kisi Wazeeristan k admi se tafseel pooch ke ap k rongte kare hojaege. yahi masla Bangladesh k sath b paish aya. kisi army wale jo old ho us se pooche.


Brother, December k month mein hee sakotay Dhaka hoa tha jo k hamari history ka ek siah baab tha or eski zimmadari siasutdon pe dalna durust nhi ha yeh hamri Riayat ka failure tha. Bangladesh bun jany k baad Indera Ghandi jo us waqt Inid ki prime Minister thi, us ne kaha tha k hum ne Nazria Pakistan ko Khalleje Bangal mein dabo dia, yeh hum sub  k liye bht sharem ki baat thi. Afosos ki baat toh yeh ha k hum ne history se koi sabak nhi seekha or wohi ghaltian aaj bi repeat ho rehi ha. Allah Pak Pakistan pe rehem fermai. Aameen

Us waqt Bangladesh ki jo halat the tho wo unka haq tha m maghribi Pakistan ma jo cheez 50 ki milti wahe cheez mashriqi Pakistan ma 200 rs ma melte the. etne votes lene k bawajood be un k leader ko badshahat ka mauqa nahe deya gia. kia kia dastane sunae leken jab fauj aae bangla ma aur jo zulam aur jabar ka maidan qaim huwa uska bahut kam logo ko pata ha. Aurto k sath badkari kee gae, zulm ki inteha kii . ese waja se tho 90k fauj selendr huwe k sahee eeman aala koi sahei tha nahe k muqabla karta.