Nawaz Sharif ki ap khoi bhi jalsa dekhlaain us ne hr waqt army k against bola hai, hr jalsa mai bajwa ka naam le ta hai aur jab army usy pakar thi hai toh wo deal kr leta hai aur mulk se bhair baag jata hai aur jahan tak baatt rhi Waziristan ki toh mujhey ki khoi khaas malumat ni hai.
Brother, Pakistan mein jo kuch bi ho raha ha woh sub ek es region ki great game ka ek hissa ha jis mein Nawaz sharif ka role sirf itna ha k us k through India k sath ek bht bri Hisorical deal honi ha jis mein Pakistan k sath India ki open trade k agreements, kasmir k maslay ka aisa hal jo India ko suit kere or Pakistan mein China ka influence ko bht kum kerna ha. In short Pakistan ko India k dominance mein lana ha or hum wohi keren gay jo India k favor mein ho ga. Bus app dekhty rehin k aany waly dino mein kya kya bri games unfold hoti han.
Yeh sub kaam kervany k baad Nawaz ki bi chutti ho jai gi.
Siasut mein sub kuch pre-planned hota ha kuch bi co-incidence nhi hota. Bhai mai ap ki is baat sai mukamal itfaq kerta hu kiunkai ab Israel aur India dono USA kai aham stratigic partner hai aur wo in dono kai zaryai yaha control ker rahai hai laikin yai region kabi bee itna asan nahi raha per is waqat jo chal raha hai us sai lagta hai thorai arsai kai liai sab un kai hisab sai hee ho ga laikin yaha changes hoti rahti hai aur China aisa hareef nahi hai jo aram sai baith jai ga aur yai sab honai dai ga ab us nai Afghanistan mai apna adda set ker lia hai aur Iran bee us kai sath hai jis sai kafi tabdeeli aa sakti hai laikin Paksitan ki ahmiat apni jagga hai jis kai liai Nawaz Shareed jai bagorai ko laya ja raha hai aur is ka bee jald hee bhutto ki tara maqbara bee banai ga.
India is region mai lead kernai ka hawab bohut arsai sai dekh raha hai wo bee itna asan nahi hai kiunkai un kai anai sai bohut ziada tabdeelia bee aai gee jo in kai apnai liai thick nahi hai.