Assalam o Alaikum brother. Ji aapne bilkul sahi btaya hai sab kuch Meta AI k bare men, yeh Meta company jo k Facebook, WhatsApp, aur Instagram jaise social apps ka malik hai unka bnaya hua AI model hai jo k commands le k aapko sare kaam kr k de deta hai wo bhi free main. Lekin aek cheez main aapki correct karna chahonga, wo yeh k agr aapko Meta AI se koi image banwani ho toh aap "imagine" word k sath slash men lgate hain, is tarha kar k "/imagine" aaur tab jaa k yeh command qabile qabool hogi.
Baqi ismen aur ChatGPT men sabse bada farq filhal k liye yeh hai k yeh without any charges usable hai jab k ChatGPT ka full version yaani k GPT4 ko access krne k liye aapko subscription buy krni hoti hai. Umeed hai k yeh cheez future men bhi hogi, aesa na ho k aage jaa k is k liye b subscription ki zrort parhe kyunke aakhir kar yeh aek business ka hi hissa hai.
Walaikumuslam!
Wesy mujy Meta AI kaa feature acha laga or smooth bhi hai. Or sab ki access my bhi. Or my is ko ChatGPT sy behtar samjta hun or us ki waja yehi hai ky ye free bhi hai. Or sab sy achi bat ye hai ky ye ap ky template ky mutabiq images bhi create kar ky deta hai. Han images abhi kuch thk nai hoti lekn kuch behtar hoti hen. Haan in future is my mazeed behtari aany ky chances hen.
Or ye ChatGPT sy acha or thora details my jwab deta hai. Baqi ap sab kaa experience kaya hai is ko use karny my.. my nai janta par personally ye mujy thk laga. Or mazy ki bat ye hai is ky liye ap ko koi web wagera search karny ki zrurat nai hai. Built in app hai or easy sy rsai hai is par.