Assalam o Alaikum brother. Ji aapne bilkul sahi btaya hai sab kuch Meta AI k bare men, yeh Meta company jo k Facebook, WhatsApp, aur Instagram jaise social apps ka malik hai unka bnaya hua AI model hai jo k commands le k aapko sare kaam kr k de deta hai wo bhi free main. Lekin aek cheez main aapki correct karna chahonga, wo yeh k agr aapko Meta AI se koi image banwani ho toh aap "imagine" word k sath slash men lgate hain, is tarha kar k "/imagine" aaur tab jaa k yeh command qabile qabool hogi.
Walikm slam bhai phr to Meta Ai kafi kaml ki tool hony wala ha ma jab bi Facebook open kar or kuch search krny ka lay type krta to wha meta ai image or baqi option ay rahu ha sab say achi bat ya lagi ha ya bilkul free ma available ha is many zadya use to ni kiya but mojy kafi acha project lag raha hai mark ka umeed ha ya any waly dino ma mazeed upgrade hu gay or image creation or editing ka features ma mazeed taqrai dakhny ko mily ge