Monthly chart pe Bitcoin ko analyze kerna bht achi baat ha ku k es se noise eliminate ho jati ha or apko market ki long term direction zayadeh clarity k sath nazer aati ha. Apka analysis durust ha k agr Bitcoin 200 days ki simple moving average ko break kerny mein fail hota ha toh 47K tak drop ho sakta ha mgr eska imkan kum nazer aata ku k ETFs mein funds inflow br reha ha or institutions dip pe Bitcoin buy ker rehe han, es liye Bitcoin ne $56K se 59k tak ki range ko maintain kia hoa ha.DYOR
App ki baat theik hy k BTC ETF ki demand ki wajah c bitcoin 48K p na jiey magar demand tu ETF ki tab bhi thi jab BTC 60-65K k darmain tha aur sab kethay they k bitcoin ki EFT demand c bitcoin 60K k neechay ni aye ga aur bitcoin 53,000$ tak aa gia. I think chart p price action tell a better story.
Chelien meray ausi bitcoin chart ko ab, Weekly mein analysis kertay hien aur dekthen hein kia nazar ata hy.

-Weekly mein humein, dooo order blocks nazar aa rahay hein (green shaded area), jo k demand zone hein.
-Bitcoin abhi phelay order block k thora opper c hi bounce hua hy aur yeh dobara ais order block ko test keray ga, kion k yeh abi consume ni hua.
-Agar phelay order block consume hogia, tu bitcoin definedlnly 2nd order block p ayee ga jo k again 50-40K are between hy but as we know from monthly, 48K tak hi jeiy ga.