Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Emitdama
on 18/07/2024, 16:58:33 UTC
Indian Exchange (WazirX) falls victim to $235M hack

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea chaal haal hai brothers loog


WazirX jou Kei aik Indian crypto exchange hai es exchange nei aek big security breach experience kea hai jhan eskaa Safe Multisig wallet Ethereum peir compromise hou gea. Web3 security firm Cyvers nei multiple suspicious transactions detect kei hai aur yeah kaha jaa raaha hai kei $234.9 million ke funds aek new address peir move kea gaey hai jou Tornado Cash aek protocol for private transactions see fund kea geay thei. Stole assets jou hai Tether, Pepe , aur Gala shameil hai Ether mei convert kea gea hai. Abei bei $210 million ser zeada sell kei leiye baaqei hai aur primary attacker ka address kei paas significant amounts of Shiba Inu, ETH, Polygon, FLOKI, Fantom, Chainlink, Fetch.ai aur different aur tokens hai.



Hack kei response mei WazirX nei cryptocurrencies aur Indian rupees kei withdrawal suspend keir dei hai jab teik wou es incident kei investigation keir rhei hai. Exchange nei users kou
yeah promise kea hai kei wou situation develop houte hei updates announce krein geay but abei teik user funds kei safety ya stolen crypto assets recover krnei kei measures kei baarei mei tafseilaat nae dei gai hai. Yeah event India mei crypto exchanges kei leiye aek challenging regulatory environment kei darmiyan aaya hai. Misaal kei tour peir OKX neu recently mei India mei operations band keir dea hai ek compliance notice kei baad jou Financial Intelligence Unit of Indian Ministry of Finance nei bheeja tha. Lagataar chlnei walei discussions kei bawajuud India mei cryptocurrencies kei leiye regulatory framework abei teik unclear hai. info detail
Brother Exchanges bohut koshish ker rahi hai security kai liai aur bohut ziada funding bee ho rahi hai laikin aik masla hai wo yai kai kai baar ham insider logo ki waja sai bee bohut nuksan ho raha hai jis ko control kerna asan nahi hai yai aik bohut bara attack hai jis kai asarat bee bohut ziada hongai kunkai Wazirx leading exchanges mai aati hai.

India ab aik bohut bary economy hai aur un logo ko chahia is ko regulate ker lai kiunkai is sai un ka bohut faida ho ga aur inka income sources bee bohut ziada ho jai ga laikin money loundrey issue ki waja sai waha kuch law regulations rekawat ban rahai hai jis ki waja sai issai regulate nahi kia ja raha kuch exchange ja rahi hai laikin phir bee kuch kaam ker rahi hai aur kerna bee chahti hai.