Boss is dor me marna bi bhut mushkil howa hai mangai ne Jo zor para howa hai bass 2 time ke rotti nazib hojay yehe bhot bari bat hai jym exercise to bhot door ke BAT hai. Exercise kar lo yan apnie ghar walo ka patty bar lo ab ap jym me jo gy to coch ap ko Jo date bana k de ga wo aik din ke 2k sy oper bana deta hai aur wo no lo to ap ke fittnes nhi ban sakti to ap he batien jab asa hal ho to garib keye kariy, Yeh bat theek hai exercise he hamri fittnes hai mind ko fresh karti hai par ab aik kam hota hai yan apni khwish puri kar lo yan bhett.
Har cheeze ka solution hota hai ab zarori ny exercise k leye ap k pass pasie hon to ap exercise kar sakty hain, Subah ki sair ke liye na kisi mehngay saman ki zarurat hai aur na hi kisi khaas jagah ki.
subah ke waqt ki taza hawa aik naimat hai jo kisi bhi mehngay khanay ya dawa se zyada faidemand hai. Is waqt ki halki si chehal qadmi ap ki sehat ke liye be had faidemand sabit hoti hai. Science bhi ye sabit kar chuki hai ke fajr se pehle aur us ke baad ki gayi walk jism aur dimagh ke liye behtareen hai. Sirf 15 se 30 minute ki subah ki sair mukhtalif bimariyon se mehfooz rakhne ke saath saath jismani aur zehni energy barhane mein madad deti hai.

Is ke liye kisi gym ya khaas alat ki zarurat nahi, bas apni jagah se nikal kar qudrat ki khubsurti ko mehsoos karein aur taza hawa mein saans lein. Ye sada aadat ap ki zindagi ko behtar bana sakti hai aur Apne din ka aghaz is positive amal se karein aur farq khud mehsoos karein.
Yaad rakhien sehat he sab se qeemti dolat hai, aur subah ki sair aik asaan aur free tareeqa hai ise barqarar rakhne ka.