Is waqt pori dunya ke nazran America ka riasat California ma lagi aag pr hy jo bhujna ka naam nhi la rhi balka barhti he ja rhi hn. Ab ya aag kyun lagi hy iski main reason barish ka na hona aur teez hawain hn. BBC ka mutabiq is area ma october sa ab tk sirf 0.16 inches (0.4cm) barish hue hy jiski wajha sa area ma kafi dryness hy aur kyunka ya state sahil-e-samandar ko bhe touch krti hy to yahan kafi teez hawain bhe chalti hn. Kaha ja rha hy ka teez winds jinki spped 160km/h hy wo is area ma chal rhi hn. America jaisa mulk apni pori qowat laga rha hy ka kisis trh is aag pr qabo pa lea jya pr abhi bhe mukamil toor pr aag pr qabo nhi paya ja saqa.
Is aag ke wajha sa taqrabin 180,000 logo ko mehfooz maqam pr muntaqil kea ja chuka hy aur 10,000 ka lag bhaj ghar aur imeratan jal chuki hn. Climate change bhe eik factor hy is aag ka lagna ka aur Climate change pori dunya ka masla hy. Jo log Rawalpindi region sa belong krta hn wo ya mehsoos kr rhya hn gy ka is bar sardi boht kam shidat sa ayi hy aur abhi bahir niklan to dhoop ma garmi lagti hy. Zarorat is baat ke hy ka pori dunya mil betha aur Climate change ka sadbad ka lea kuch amli efforts krya.
Asal my Musa Bhai agar ap muj sy puchen gy naa to I will say ky ye sab jo hai naa ye sirf or sirf in ki apni kartuton kaa hi natija hai.
Ab dekhen naa ye qudrat ky saath thora khilwodd karty hen. Like ye barish kaa naa hona wo bhi sahil smandri ilaqon my herat ki bat nai hai? Ye sab naa in ka apna kiya dharra hai. Like ye global warming kiss waja sy barh rahi hai. Ye roz nit naye to tjarby karty hen. Orat mard ban rahi hai apny uzu tabdeel karwa ky mard orton my tabdeel ho rahy hen LGBTQ kiss ki ijaad karda hai.? Ye sab inhi kaa apna kiya dharra hai.
Well JunaidAzizi ki bat ky itny latest technology hony ky bawajud itny equipment hony bawajud ye in sy nai tham rahi. To my yehi kahun gaa jab qudrat intiqam leti hai naa to wo phr esy hi intiqam leti hai.
Baqi Jo BHI Hy boss g nuqsan bohat ho Gaya Hy. Yani bohat hi buri aagy lagi hy or mazeed tabahi macha rahi hy. Waqy hi herangi Ki bat Hy Abhi tak iss par qabu nai paya jaa saka.
I was scrolling on internet to mujy EK satellite view Mila yani EK picture Mili jis ko dekh kar my BHI heran Tha. Yani EK taraf to pathrily pahar Nazar arahy thy dusri taraf samandar Hy or still aag bohat zyada bharki hui Hy.
Nuqsan bohat ho Gaya Hy. Ab Dekhna ye hy KY kab tak is par qabu paya Jata Hy. Dekh Len ye wohi milk Hy Jo Puri dunya my aag lagta Tha or mery Rab Ki Hikmat sy Aaj khud jall raha hy.
Ye raha wo satellite view. Jiss Ki my ny upar bat Ki.
