Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 3 from 2 users
Re: Pakistan
by
General_Bitcoin
on 13/01/2025, 12:57:17 UTC
⭐ Merited by Halab (2) ,ZAINmalik75 (1)
Bhai yai jo kuch ho raha hai yai in ki ahlaqi shakast hai bitcoin to control nahi ker saktai to us kai hilaf laws or regulations la rahai hai laikin yai bee nakam ho jai gai abee to kuch struggling countries hai jo openly is ko adopt ker rahai hai kiunkai El-Salvador kai baad kuch countries ko andaza ho gia hai is mai kia faida aur bahtry hai Biden to shuru sai hee is kai hilaf hai. Abee aur bee bohut sarai countries is taraf jai gai mai samajta ho Pakistan ko bee jana chahia per yai zahni mareez hai yai nahi jai gai kiunkai jis cheez sai Pakistan ka faida ho wo in ko pasan hee nahi hai.
Bitcoin asal Mai inky iss grip ko toor Raha ha jo dollar ki base par inho ny duniya par bana Liya ha unky financial system ko control karny ky Liya, TOH yeh toh har had tak jaingy Bitcoin ky khilaf jab jab inhy khatra mehsoos hoga dollar ky Liya q ky phir inka jo strong grip bana ha jis par log inki Baat ma'an rahy ha jab yeh damki daity ha uska Satya naast hojai ga.

So trump bhi mujy itna pro crypto wlaa nahi laghta just voting bank increase karny ky Liya iss community ko Sath milaya but at the end yeh apny dollar ka ACHA pahly soochhyngy usky baad Bitcoin ka

Baki Pakistan toh kab ka kar chuka hota agr woh puppet ya katputli na hota American ka aur world band ka imf ka, so inko toh relief milne te financial stability Mai. But Malik ko naraz karny ky Liya thoore yeh Kuch step otaingy. Haa woh alag Baat ha ky India ky Sath barabri zahir karny ky Liya kardy waqti toor par as dono sotaly Bhai Jo ha 😉
Baki love u all bus ik achi larky doondwa dy kafi waqt Sy shadeed single hu😜🤣🤣🤣
[/quote]
Bhai jist tarah Imran Khan Pakistani establishment aur hakumat kai liai azab ban gia hai ussi tarah Bitcoin dunya kai liai ban gia hai na band ker saktai hai aur na hee dheel dai saktai hai laikin different kisam kai rules or regulations la ker is ko qabu kernai ki koshish kertai rahtai hai jo nakam ho rahi hai. KYC/AML sab kuch ker kai dekh lia hai laikin kuch bee nahi ban raha hai issi liai mujai lagta hai Donald Trump or Elon Musk nai nayi strategy kai sath is ko qabu kerna chaha hai is ka use kia election mai aur ab is kai sath kuch nahi kerai gai balkai jaisa chal raha hai waisai hee chalta rahai ga aur apna kuch personal system bee develop ker saktai hai. Laikin aik baat tah hai is ko ab $250K tak janai sai koi nahi rok sakta 2025 kai end tak.

Aisee khoon jalanai wali baatai na likha karai mai hud is shadeed sardi mai akail hee mar raha hu razai bee koi ziada sath nahi dai rahi baki Allah raham karai ga. Wink Cheesy Wink