Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Alone055
on 14/01/2025, 11:49:09 UTC
National Bean Day jo 6 January ko manaya jata ha ek din hai jo beans ki beneficial aur gahzi ahmiyat ko celebrate karta ha. Beans apni fiber aur protein ki zyada mikdar ki wajah se famous ha jo kisi bhi natural khanay mein dhondhna mushkil ha. Yeh sehat ke liye bohat faidemand ha jaise ke gut health ko behtar bananey our wazan control karne mein madad dete ha. Iske ilawa, beans sustainable agriculture ke liye bhi zaroori ha kyunke yeh zameen ki sehat behtar banate ha kam pani chahte ha aur dosray protein sources ke muqable mein kam greenhouse gases produce karte ha. Yeh saste hote hain aur lambi muddat tak kharab nahi hote jo food security aur khanay ka zaya kam karne ke liye acha ha

National Bean Day par Beans Is How campaign ka maqsad hai ke 2028 tak duniya bhar mein beans ka istemal barhaya jaye. Yeh campaign yeh dikhata hai ke beans ka zyada istemal kar ke hum sehat aur environment ke masail ko hal kar sakte ha. Is din ko manate hue hum beans ki ahmiyat ko samajh sakte hain aur aise campaigns ko explore kar sakte hain jo humein beans ke faide batate ha Ik sehat mand jasim ma he sehat mand insan hota ha

I love beans! Especially red kidney beans.

Bro aapne boht achi achi information share ki us k liye aapka behad shukriya... Isse pehle mujhe yeh toh pata tha k beans sehat k liye kafi ache hote hain lekin mjhe yeh nai pata tha k yeh environmental-friendly bhi hote hain jo k apne aap men aek khasiyat hai qk inki production se bhi masle hal hote hain aur phr inko kha k bhi, mtlb do benefits.

P.S: Bro, main aapko merit send kr rha tha lekin 1 ki jaga ghlti se maine 10 send krdiye qk main laptop use krta hon aur 10 pehle se word suggestions men ajata hai... Mujhe is cheez se koi issue nai hai qk aap deserve karte hain lekin main clarify is liye kr rha hon ta k kal ko koi aur uth k is bat ka issue na bna le.  Smiley