FBI ne North Korea par ilzam lagaya hai ke usne ByBit, jo ek Dubai ki cryptocurrency exchange ha se takreeban $1.5 billion chura liye. Ye tareekh ka sab se bara cyber chori ka waqia mana ja raha hai. Churi kkya gaye paisay pehlay virtual currency mein thay magar ab kuch hissa Bitcoin mein badal diya gaya hai aur hazaron blockchain addresses par bhej diya gaya ha. FBI ne warn kiya hai ke ye paisay aage chal kar saf kar diye jayenge aur aam currency mein badal diye jayenge. Ye hacking North Korea ke TraderTraitor naam ke campaign ka hissa hai, jo advanced malware aur social engineering Karen istemal karke cryptocurrency chori karta ha
Blames without proper evidence or proof are senseless and useless. Aese toh koi bhi uth k kisi par bhi ilzaam lga skta hai k falan bande ne ya mulk ne pehle aese jurm kiye hain toh yeh bhi usi ne kiya hoga, aese toh qanoon kisi bhi naye jurm k liye kisi bhi purane mujrim ko saza de k bol de k case khtm qk isne pehle aek murder kiya hai toh yeh b isi ne kiya hoga... That doesn't make any sense at all.
Baat wo hoti hai jo facts aur evidence k mad men ki jaye... Agar aapke pas kisi k khilaf koi saboot hi nai hai toh aap kaise keh skte hain k wo mujrim hai bhale uski history men crimes ya possible crimes hain lekin isse toh kuch sabit nai hota... FBI hawa men teer maar rhi hai aur USA yeh cheez hamesha se krti aai hai k wo ilzaam kisi aur country pe daal den ta k unki trf koi ungli na uthe aur aesa na ho k heist unke country men se hi ki gai ho aur wo badnaam hojain... It's all a political game and nothing else, in my opinion.
I have achieved Hero Member Rank
Congratulations, brother.. ALLAH aapko aur kamyabi aur tarakki de, inshaALLAH... Isi tarha mehnat krte rahen...

Meri taraf se bhi sab doston ko
Ramzan Mubarak!ALLAH kare k is babarkat maheene men hum apne gunah maaf krwa kar boht sare sawab haasil kar saken, aur ALLAH hum sabko sehat aur tandrusti de taa k hum apne roze aur ibadaat ache se aur khuloos k sath pure kar saken.. Ameen.
