Wa alaikum Salam, Chalo Kahi toh in hukoomat ko hossh Aya aur baidar hooky awam ky Liya fikr mand hogai. Agr yeh cheezy pahly Sy hote toh bohout sare qeemte jaany Bach jate aur lag ba hifazat mahfooz jagga pa pahly Sy shift hojaty but nahi
Baki Yar hum lagy ha India Sy iss cheez pa ky unho ny hamara paani rook diya toh Kya Hoga ab hum Sy Apna paani control nahi ho Raha aur waha pa alag lagy howy ha agr government hoosh ky nakhun laity aur waqt pa bohout dams bana laity aur khoob Sara paani store karty aur Baki store karny ki salahiyat bhi paida karty toh AJ yeh flood nahi aata
Hum yeh saara pani save kar laity plus hamay India ky us damki ka bhi farq nahi parta Kyu ky hamary paas already bohout stored Pani hota but nahi inko pahly apny jaib barny ha phir COAS ky Liya jazeery, aur paisy sab phir jaaky awam aur mulk ky Liya soochna ha. As agr Kuch hojai toh London sfiht hojaty bugatna toh awam ko ha.
Aj eik aur boht takleef deh news suni hy. DHA-5 Rawalpindi ma eik car pani ma bah gai hy aur us ma eik baap aur uski beti the jin ko abhi tk recover nhi kea ja saqa. Pata nhi kya ho gya hy is dafa barisho ko. Itna log pani ma bah rhya hn aur koe rescue nhi kr pa rha. Eik analysis ya bhe hy ka boht zayda societies bnanya sa daryon aur nalon ka size boht chota ho gya hy jiski wajha sa pani ko guzarna ka rasta nhi mil rha jiski wajha sa zayda tabahi ho rhi hy.
Pani ke baat ap na sahi ke ka hm na dams to bnanya nhi aur jo pani mil rha hy wo sara waste kr rhya hn. In barishon sa ya to pata chal gya hy ka agr hum sahi sa water management krn to hum na sirf pani ko save bhe kr saqta hn aur saath he qeemti jano ko bacha bhe saqta hn.
https://www.youtube.com/shorts/Q93qgJzdER4