I was busy those days.
IS year 2025 ke pehyle 6 mahino me crypto sector me 3.1 billion dollar se zyadaa ka nuksan hoa hayi, jisme smart contract bugs, access control kei kami, rug pulls aor scams shamil hain. YE amount 2024 kye pure year kye loss se zyadaa hayi jo 2.85 billion dollar thaa. Sabse bara hack Bybit ka tha jisme February me 1.5 billion dollar chori hoa. Access control exploit sabse bara reason raha jisme 59% losses hue, jabke smart contract vulnerabilities se 263 million dollar ka nuksan hoa jo total ka 8% hai. Hacken ki report ke mutabiq GMX v1 jese purane codebase projects ko target kiya gaya Q3 2025 me, aur yeh bataya gaya ke purane systems par bhi dhyan dena zaroori hai agar wo abhi tak chal rahe hain.

Attackers ab cryptographic flaws se zyada human aur process level mistakes ko target kar rahe hain jaise ke blind signing, private key leaks aur phishing. Operational security flaws kaafi zyada nuksan ka sabab ban rahe hain jisme DeFi aur CeFi platforms dono shamil hain. Sirf Q2 me Cetus hack me 223 million dollar chori hua jo DeFi ka sabse bara nuksan tha 2023 ke baad. Yeh sab batata hai ke crypto me access control abhi bhi sabse kamzor aur risky area hai jisme behtari ki zarurat hai.
Crypto hack