mera bhai aapka reply deakh kar toh main dar gya qasam se
bhai main reseller hon Binance par silver merchent paxfull par power trader Okx par bhi hon mera pass toh purchase karna keh lia bohat customers hain but sell karna wala bohat kam main toh shyed daily 10000 bhi sell kar don but itna purchase karna keh lia pessa kahan se laon ga mera pass itna pessa nahi 5000USDT binance ne deposit karwa lia ab toh bass thoda pessa hain maximum 2000 hi buy kar sakta but itna koi sale hi nahi karta rooz abhi aap jesa bhai help karain ga mujha sale karain ga tabhi toh account grow kara ga na mera koshis toh jari ha but koi khass response nahi mill raha yahan
or han main customers ki payment kabhi bhi aga send nahi karta aapko pata ha aaj kal chain dispute chal raha ha toh koi issue na bana main hamesha woh cash karwa kar apna ik or account main deposit kar leta hon wahan se aga send karta hon inshaAllah kisi ko kabhi issue nahi aay ga
or ik baat main apna account privacy maintain rakhna chahta hon toh plz mujha meri paxfull ya binance ki profile share karna ka nah kaha koi han agar phir bhi proov chahia howa kisi ko toh main kisi asa trusted banda ko apna account share kar don ga jo promis kara ga keh meri privicy leak nahi kara ga yahan woh yahan VOUCH kar de ga mera lia ya koi aap loog tarika kahain ga toh woh kar lon ga sabit karna keh lia
Note : sab se zarori baat mera paxfull ka account 8 saal purana ha binance ka 2021 ka ha or lifemain jab main ne crypto trading start kia tha tab first time 32000 ka BTC lia tha to be exact i think 32300 main shyed 2016 ki baat ha yeah start main yahan naya hon main but crypto main nahi
Jab meine ny app ki post dekhi tu mujhee yeh naam "MHtraders" suna suna sa laga kion k mein binance p P2P aksar kerta retha hon (only to sell USDT), so shaid app c
hibhi P2P trading ki ho. Agar app ka rates achay huey tu i will be one of your customers. Yahan p Irfan bhai hotay hien jo P2P services offer kr rahay hein but woh itnay baray level p
(like binance ya PAxful p) ni kr rahay aur meri aun c aik doo baar trading bhi ho sukhi hy.
Bagi agar app meray p trust kr sakein aur apni binance ki profile meray c share kr lein tu mein app kay feedback dekh k bata doon ga community ko k app kaisi services provide kr rahay ho. But only binance ka feedback hi bata sakoon ga kion k bagi platforms mein use ni kr raha. Aur app apna koi contach number bhi share kereian where you can be reached 24/7, whatsapp or telegram etc.
Bagi Welcome to our local communtiy. Aur app face to face bhi deal kertay hien Lahore aur Islamabad mein ? Aur app kis city c hein ?