Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 1 from 1 user
Re: Pakistan
by
Compromise me
on 28/07/2025, 00:28:16 UTC
⭐ Merited by shahzadafzal (1)
DHA 5  Rawalpindi ma jo larkee aur unka valid car semat seelab ma bah gya thy un ma larkee ke dead body abhi tk nhi milli jabka unka valid ke dead body mil gai hy aur unki tadfeen kr de gai hy. Larki ke body recover krna ka lea rescue operation jari hy pr aya roz pani ka bahyo boht taz ho jata hy jiski wajha sa body nhi mil rhi. Dua hy Allah Pak is family ko sabr-e-jameel atta farmya.

Swat ma bhe kuch pehla 2 ghanta tk log pani ma phansya rhya pr koe rescue ka lea helicopter nhi aya. Hman khud he hosh mandi sa kaam lena ho ga kyunka yahan rescue ka lea kisi na nhi ana lehaza koshish krni chahya ka monsoon ka season ma pani sa jitna dor reh saqta hn rhyn.
Bhai ya to kafi Afsoos nak khabar hai ay din asy waqia hoty rahty hai  government level par asy kam ni hoty hai jasy abi swat ma pori family he bah ge the 4 ghanty tak.koi rescue krny ka lay ni aya jo last din jab ik kernal ki bivi ko rescue krny ka lay helicopter aya gaya tha ya to haal hai inka mulak alag he yaha par forn rescue krnu ka lay fouji helicopter tak aya jata hai or gareeb awam ka lay koi ni atta hai ya inki 2 numbari imran khan khtam krna chahat hai yha ik he mulak ma sab ka lay ik qunon hu to he mazam insaf cahal skata hai baqi moon soon ma tafreeh ka lay swat or phari ellaqo ma ni jana chaye hai apna jaan ki hufzat khud bi krni chaye hai insan ko takh any waly kasi bi incident sy bacha ja skay hai Allah pak ny bi quran pak ma kaha hai insan ka lay wohi ha jas ki wo koshish krta hai is lay apni hazafat ka lay ithayet krni chaye hai
Is technology ke dor me hamra mulk 21 ve sadi me nhi baly peshli sadi me chal raha hai, pani k pressure ko control me karnie k leye dosray mulko ny targan tarhan ke aur heavy machines aur gajitt invention kar leye hai aik hamara mulk jis sy pani ka otar charao he control me nhi hota, agar technology nhi to kam sy kam wo pura tariq he apna lena chahiye jo ham sab bachpan me katabon me party arahien hai k salab aur pani ke sapid ko kam karnie k leye dari yon samondor k kanary darakh lagnie chahiyien jis sy pani ke raftar par qabo paya ja saky.

Baqi ye bhot dard nak waqiya tha  log mar jaten h hakumat Sirf notas leti h silab ne Sirf pani nahi bahya balke Kisi k Bache Kisi k maa baap or gar b beh gayen h wo Jo larki us ki lash hi nahi mil Rahi to us k gar walon ka Kya hota ho ga Dil dhukta un maa baap k liye jieney apni ulad ki lashe b nahi milti hum waqhi itne kanzor ho choke h k hakumat k liye awaz nahi utha sakte aise to har sal salab mein hum apno ko kho den ge ye waqt duwa nahi ahtasab ka b h k har sal awam Marti Rahe or hakumat khamosh Rahe ya phir garib ka marna humeha ak kudarti hadsa hi Rahe ga tabhi Sirf pani se nahi ati gaflat b mar deti h.