DHA 5 Rawalpindi ma jo larkee aur unka valid car semat seelab ma bah gya thy un ma larkee ke dead body abhi tk nhi milli jabka unka valid ke dead body mil gai hy aur unki tadfeen kr de gai hy. Larki ke body recover krna ka lea rescue operation jari hy pr aya roz pani ka bahyo boht taz ho jata hy jiski wajha sa body nhi mil rhi. Dua hy Allah Pak is family ko sabr-e-jameel atta farmya.
Swat ma bhe kuch pehla 2 ghanta tk log pani ma phansya rhya pr koe rescue ka lea helicopter nhi aya. Hman khud he hosh mandi sa kaam lena ho ga kyunka yahan rescue ka lea kisi na nhi ana lehaza koshish krni chahya ka monsoon ka season ma pani sa jitna dor reh saqta hn rhyn.
Bhai ye Pakistan hai. Yahan insani jaan ki koi qeemat nai hai. We know this is a natural disaster. But iss kaa ilzam still Government of Pakistan par hi jata hai. Or GOP par FIR darj honi chahye but koi agar ye kar dy ga to uss bichary kaa jeena haram kar diya jaye gaa. Us par ye zameen tang kar di jaye gi. Or case bohat sy cases ki tarah tons of files ky nichy dabb ky reh jaye ga.
Or agar ye hota koi European Country ka waqya to awwal to esa koi hadsa paish ana hi nai tha. Or agar ata to barwaqt action liya jata. Or agar ye bhi naa hota to mutalqa zimedaran sy sakht tafteesh hoti or agar wo guilty paaye jaaty to un ky khilaf karwai hoti.
But ye Pakistan hai. Yahan zuban kholna mana hai.