After The Recent Surge, Almost 97% ETH Holders Are Now in Profit
Ethereum (ETH)
ne pichlay chand hafton mein kaafi strong rally ki hai, jiske natijay mein takreeban
97%
wallet addresses ab apni holdings par munafa dekh rahe hain. Yani zyada tar holders ne jis price pe ETH kharida tha, ab us se current market price upar hai. Ye on-chain metric market ke liye ek positive sign toh hai, lekin saath hi ek potential risk bhi hota hai, kyunki zyada log profit mein hone par bechne ka sochne lagte hain.
Glassnode
ke mutabiq, pichlay 7 din ka average profit realization
$553 million
per day raha hai. July ke dauran ye number apne peak
$771 million
/day tak pohanch gaya tha, lekin ab thoda neeche aaya hai. Is ka matlab ye hai ke abhi bhi kaafi active profit-taking ho rahi hai, bas July ke comparison mein thodi kam. Long-term holders ka behavior December 2024 ke peak ke aas paas hai, jab unhone apna munafa zyada nikalna shuru kiya tha. Magar iss waqt kaafi short-term holders bhi aggressively sell kar rahe hain, jo short term mein market ke liye pressure create kar sakta hai aur ETH ki price ko neeche push kar sakta hai.
Source