Debating New Provinces proposed by COAS Pakistan
Well guys scene Kuch aisa ha ky Kuch dino Sy Pakistan Mai ik news bohout pail Rahe ha regarding new provinces Jo ky abhi just sooch ha isko amli jama pehnany ky Liya constitution amendments paish ki jai ge aur country Mai 4 province ko divide karky totally 12 provinces banany ki tajweez de gaye ha. Jiska main maqsad governance ky nizam ko behtr banany ky Liya aur awam ko mehroomi ko door karny ky Liya paish Kiya gaya ha Jo ky ik vital sooch ha aur bohout pahly hoona chahiya ta.
Kuch demand kar rahy ha ky 30+ provinces bana de jai but abhi 12 par hi zyada log mutafiq ha. Agr daikha jai toh America Jo 13 states country ta woh 50 bana diya gaya Sath Sath India Jo start Mai 9 provinces ta woh 28 karde gaye. So hukoomat aur awam ko qareeb karny ky Liya yeh bahtreen step ha, no doubt har step ky pros aur consequences ha, like faida toh bata diya but nuksaan yeh ha ky karcha bar jai ga like province ka ik CM hoga governor hoga usky Sath intizamia Hoge plus bohout saare Jo abhi neglect ha km soobo ki wajah Sy
So abhi scene Kuch istrah hoga ky Punjab 4 province Mai divide hoga aur Balochistan bhi 4 soobo Mai plus Khyber pukhtana khwa ko two Mai aur Sindh ko bhi two Mai divide karny ka mansooba ha. Mai toh believe karta hu zyada sooby no doubt karcha zyada hoga but door daraz elaky from capital of province Sy unka Liya asaniya paida Hoge aur bohout new elagy develop hojyngy due to become capatial of that new province. So ap logo ki Kya rai ha is par ky Kya haamy Issy adopt karna chahiya ya neglect.
Well done @ZAINmalik75 yai aik bohut hee acha tareeka hai dosrai members ko encourage kernai ka aur kissi bee topic per discussion shuru
kernai ka agar ham copy past ko chor is tarah kai topics per baat cheet shuru ker dai to yai ziada knowledgeable hai aur members kai views
bee pata chal jai gai. Mai samajti ho @ZAINmalik75 zimaidar aur senior members ainda agar issi tarah kai topic lai aur members ko kahari
apnai rai ka izhar karai to ham is sai bahter community ban saktai hai aur members ko achi discussion per merit bee mil jai gai jo kai aur
encouragement ka bais banai gai. Kuch memers Dickey ko lai ker bohut tense hai unai bee pata hona chahia is waqat aisee fazuliat ki bajai
agar haim ko bahter talk kerai to ziada bahter hai bohut sarai aur topic bee hai jin sai change laya ja sakta hai is mai agar ham kissi has din sai
talk ka agaz karai to umeed hai sab ko acha lagai ga.