Debating New Provinces proposed by COAS Pakistan
Ye ek acha step ho skta he awam ko or ziada attention dene ka or agar ye hojae to boht acha hoga un awam k liye jinko main utilities jaise k gas or bijli ki saholat bhi nahi. Is se awaam ke problems taraf tawajahzyada ho jaegi jo boht acha hoga. Us se ke elawa jobs opportunity barhegi kyunke jitne zyada states honge utne zyada employees ki zaroorat parhegi or is se economy me bhi boht acha jump dekhne ko mil sakta he.
Lekin jese ap ne kaha k har cheez k pros and cons hote hn aese is ka to ek ye bura consequence hoga k Costs zyada hojaenge kyunke administrative setups jese k courts, assemblies, police stations etc ki zaroorat parhegi jis pe biht kharcha ayega. Is ke ilawa political instability boht barh jaegi kyunke jitne zyada governor k seats hongi utni zyada har ek state me political parties bhi barhengi jis se ek political instability dekhne ko mil sakti he. Is ke elawa slow-decision making ek problem ho skta he kyunke sab governors ki approval me boht time zaya hoga. Overall, Is decision se awaam ko faiday bhi boht milenge lekin hukoomat ko shuru me mushkilat ka samna karna parh sakta he.