size=20pt]Debating New Provinces proposed by COAS Pakistan[/size]
Well guys scene Kuch aisa ha ky Kuch dino Sy Pakistan Mai ik news bohout pail Rahe ha regarding new provinces Jo ky abhi just sooch ha isko amli jama pehnany ky Liya constitution amendments paish ki jai ge aur country Mai 4 province ko divide karky totally 12 provinces banany ki tajweez de gaye ha. Jiska main maqsad governance ky nizam ko behtr banany ky Liya aur awam ko mehroomi ko door karny ky Liya paish Kiya gaya ha Jo ky ik vital sooch ha aur bohout pahly hoona chahiya ta.
Kuch demand kar rahy ha ky 30+ provinces bana de jai but abhi 12 par hi zyada log mutafiq ha. Agr daikha jai toh America Jo 13 states country ta woh 50 bana diya gaya Sath Sath India Jo start Mai 9 provinces ta woh 28 karde gaye. So hukoomat aur awam ko qareeb karny ky Liya yeh bahtreen step ha, no doubt har step ky pros aur consequences ha, like faida toh bata diya but nuksaan yeh ha ky karcha bar jai ga like province ka ik CM hoga governor hoga usky Sath intizamia Hoge plus bohout saare Jo abhi neglect ha km soobo ki wajah Sy
So abhi scene Kuch istrah hoga ky Punjab 4 province Mai divide hoga aur Balochistan bhi 4 soobo Mai plus Khyber pukhtana khwa ko two Mai aur Sindh ko bhi two Mai divide karny ka mansooba ha. Mai toh believe karta hu zyada sooby no doubt karcha zyada hoga but door daraz elaky from capital of province Sy unka Liya asaniya paida Hoge aur bohout new elagy develop hojyngy due to become capatial of that new province. So ap logo ki Kya rai ha is par ky Kya haamy Issy adopt karna chahiya ya neglect.
Agar asa hota h, to samaj leien Pakistan ke taraqi k din shoro ho gy, lekien mujy nhi lagta k asa kush hoga hamray mulk k big black mafiya asa hony nhi dien gy kuin asa honie sy sab sy phely hamray mulk me jo clearness aye gi to ye clearness he black mafiya nhi chahti, baqi ham ye samajhte ha ke new sobay banane se governance behtareen hogi aur awaam tak haqooq aur resources asani se pohanch saken ge.
Lekin agar ham is k Dusri taraf dekhien aur soch to ye eik siyasi chaal qarar b ho sakti hai jo sirf vote bank mazboot karne ke liye ho aur agar asa hota b h to mujy lagta hai ye sobon wala fasela awan ke raye sy lena chahiye kuin k foj to phely he chahti h k sab hamray control me ho aur agar asa hota h to foj k leye aur asani ho jaye gi, ajib hai ye sab agar ye itna he awam k leye soch rahy hi to phely on k oper tax k boj to halky karien abi tak in sy ye 200 unit wala jag ga tax ka hal nhi howa aur ye awam k leye itha kush karien gy nhi me nhi manta ye sab in ke koi new chaal hai kuin Pakistani government awan ka bala tabi karti hai jis me hunie koi faida dekhie.