Debating New Provinces proposed by COAS Pakistan
Well guys scene Kuch aisa ha ky Kuch dino Sy Pakistan Mai ik news bohout pail Rahe ha regarding new provinces Jo ky abhi just sooch ha isko amli jama pehnany ky Liya constitution amendments paish ki jai ge aur country Mai 4 province ko divide karky totally 12 provinces banany ki tajweez de gaye ha. Jiska main maqsad governance ky nizam ko behtr banany ky Liya aur awam ko mehroomi ko door karny ky Liya paish Kiya gaya ha Jo ky ik vital sooch ha aur bohout pahly hoona chahiya ta.
Kuch demand kar rahy ha ky 30+ provinces bana de jai but abhi 12 par hi zyada log mutafiq ha. Agr daikha jai toh America Jo 13 states country ta woh 50 bana diya gaya Sath Sath India Jo start Mai 9 provinces ta woh 28 karde gaye. So hukoomat aur awam ko qareeb karny ky Liya yeh bahtreen step ha, no doubt har step ky pros aur consequences ha, like faida toh bata diya but nuksaan yeh ha ky karcha bar jai ga like province ka ik CM hoga governor hoga usky Sath intizamia Hoge plus bohout saare Jo abhi neglect ha km soobo ki wajah Sy
Bhai Ya mojy army chief ka ik plan hai long term par qabz rahny ka is ka pichy kia mafad hu skaty hai awam ko chorn bechy gay phr jab extension mil jaye ge to mamla rafa dafa hu jaye ga yahi sazih lag rahi hai qkh awam ko pichy lagny ka lay koi march masly wala khani to sunni the na wasy bi rana suna ullah nay apni press conference ma wazia kaha hai kah hukmoot 27th ayani tarmeem or nayi sobay banay ka lay series ni hai or asa ni hu ga jab kah baqi mojy bi asa ni lagta hai nay sobay banay sy koi khaas fark phary ga jab kah humri is hallat ki zimidar ya crupptt politician or currput generals hai Army chief ka india ka huwala dena kah waha inty sobay hai to nazam theak hai ya zehani kamzori ki illmat hai kah waha par army chief kabi sisyat ma hiisa ni leta waha par ya jhazrna nazim ni hai baqi dakhty hai kia karty hai mojy to koi positive vibe ni ay rahi hai ys sarf sisyat lag rahi hai