Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Alone055
on 26/08/2025, 11:39:50 UTC
So ap logo ki Kya rai ha is par ky Kya haamy Issy adopt karna chahiya ya neglect.

Zain Bhai aapke point of view aur soch ki respect karte hue main aapse yeh sawaal karna chahta hon ke aapko aesa kyun lagta hai k aek corrupt state aur corrupt government ki qayadat men aesa koi ikdaam awaam k liye faide ka sabab banega? Jabke yeh cheez hum sab jante hain bhale hum bolen na bolen aur maanen ya na maanen, k is mulk men corruption khtm nahin ho sakti, khas kr tab jab mojuda hokumat aur sarbarah hamare upar musallat hain, toh jahan pehle hi itni corruption horhi hai, provinces ko barha k aur mazeed CMs aur ministers appoint kar ke sirf awaam k upar mazeed bhoj dala jayega aur kuch nahin.

Jo parhe likhe log hain jinko thori boht bhi samjh hai politics ki toh unko yeh cheez pata hogi k hamare mulk men jab bhi kharche barhte hain government k, wo sara kharcha awaam ka khoon nichor k nikala jata hai. Kaise nikala jata hai? Bijli aur gas k bill, taxes, mehngai, yeh sab cheezen hain jinke zariye government awaam se paise pure krti hai.. Lehaza agar is tarha ka kuch hota hai jiske chalte 4 ki jaga total 12 soobe ya provinces bana diye jaenge, toh mujhe pura yaqeen hai k development agar hogi bhi toh mehngai had se ziada barh jaegi, bijli gas k bill aur unki keemten barha di jaengi, toh ab aap batao, aek gareeb awaam ko aap 2 achi sarken bana k de dete ho lekin aap unke bijli k bill ko 2000 se barha k 4000 krdete ho, unke liye ismen konsi asaani hai? Development ka faida tab hota hai jab awaam ki khushhaali ka khayal pehle rakha jaye.