hamay mostly inflation rate Mai taize yahi charhawo daikhny ko mil Raha abhi thoora bohout down agaya as investment agaye aur several loan mil gai IMF Sy.
Apki bat ko ma zyada tu nahe samaj saka han ek point ko uta kar ma ap kuch kehna chahta hun. P
2023 ma inflation zyada ho gaye ti , per ab Kuch loans mel gaye ha tu os ki waja se thora guzara kar deya ha inflation na pakistan ma per ye sub tab howa jab hame kuch loan aur mel geya , ab agr daika jate tu hum ne improvement nahe ki balke aur be zyada nuqsaan ma chale gaye hain , ek inflation ko control ma lane ke leye hun ne ek aur burden ko apne saaro pe rak deia ha.
Es ka best way ye ha ke logo ko zyada se zyada small industries chalane ke ideas deia jaye aur banks se loan jari ki jaye take loog zyada se zyada kam kar sake , aur apne foreign policy ma defensive agreements ko nekal ke economic plans shamil kare aur unke sath apne ties ko mazboot kare , warna kych time bad ye loan be khatam ho jayega aur inflation rate 2x zyada ho jayegi es dafa.