Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
ThemePen
on 28/08/2025, 06:22:06 UTC
/Snip
Qurban dear Dil choota na kary Mai apky Sath hu, jab tak ap Mai ghalti na ho Kisi ky baap Sy nahi darna right chahy woh Kuch bhi kahy agr agr apko Apna kaam teek lag raha ha logo ko boolny do woh toh Kisi Haal Mai Kisi ko nahi chorty. Woh ik qissa ha hamary pashto Mai ky ik bandy ki Shaadi te us ny kaha Mai aisy ahtemam karunga ky sab tareef karty rahyngy, Aisa koi expensive Item nahi ta Jo us ny add nahi Kiya ho aur last pa jab log ja rahy ty toh 1000 bhi diya. Toh Kuch logo ny pashto Mai ik Gali de aur kaha Kya baira ghark hojata agr 2000 dy daita

So ap jitna Kuch bhi karlo sab 100% ap Sy kush nahi hongy aur yahi duniya ka dastoor ha, Imam-ul-Ambiya jinki seerat duniya Mai misal ha unko log critics Kiya toh Mai aur ap Kon. Baki Rahi respect ki baat toh jab woh maire na kar Rahe te toh ap kaisy expect kar skaty ha woh apko dy daite. So ap Apna kaam jari raky jisko Jo karna ha karny do. Ap still community ky top poster ho keep it up

g Bhai ap ny tu Dil Khush kr dia ha  esa lag rha ha jesa Mera bara Bhai a Gia ha. Dil chota Ni ha per chota ho Gia Tha ap a gye ha Kisi Cheez Ki tension Ni ha. Bhai me ny tu uski bat ko ignore kr dia Tha magar bad me dusry bhaio ny muje yahi Kaha ky chup ho jao me chup ho Gia Tha magar muje feel hoa ha ky Meri galti bi Ni ha or usy kuch bi Ni Kaha ja rhaa ha or Meri galti bi Ni Thi or uska tu nam tak bi na Lia Gia.

Deky sir g bat khatma Krny ka aik tareeka hota ha ap mery se bi behtar  janty ha ky Kis tarah is mamly ko rafa dafa Kia Jaye. Asoolan bat ye banti Thi k hamy kehty personal sorry kr lo ya ham dono ko kehty ap bi chup ho jao or qurban Bhai ap bi chup ho Jaye magar ESA kuch bi Ni Kia Gia. Chaly pir bi me Apki waja se is bat ko chor deta hu.

Mery Dil me ye Ni ha ky vo muje se sorry kry me ye kehna chaita hu ky aik tu vo active Ni ha dusra keha ha time Ni hota post ky liye aur mujy eik post par judge kr raha Hai aur senior member ha ya pir usy PTA kuch Ni .
Exactly...
Dill chota karny wali bat hai hi nai thi. Agar koi senior ap ko samja raha hai wo issi liye samja raha thaa ky ap un ki bat ko samjen gy. Qurban bhai. Or wo wolvit I think ko koi issi liye kuch nai keh raha tha kiu ky uss ky munh koi nai lagna chah raha tha. So just chill bro.
Or ap tension naa len aap hmari community ki aan shaan baaan hen. Preshan kiu hoty hen. Wo iqbal ka sher hai na.

تندیٔ باد مخالف سے نہ گھبرا اے عقاب
یہ تو چلتی ہے تجھے اونچا اڑانے کے لیے

So mery bhai hamesha yaad rakhye gaa. Suno sab ki karo apny dill ki. Shuru shuru my mera bhi yehi kam hota tha news sharing kaa lekn ab mery account ko ye cheezen zeb nai deti. So I avoid. Koi bohat zruri ho to I share.



@Themepen @Alone055 Mai ap logo ki baato Sy agree karta hu yeh Mai ny already explained Kiya ha ky is ky bohout consequences ha. But agr hum above chart ko daikhy toh hamay mostly inflation rate Mai taize yahi charhawo daikhny ko mil Raha abhi thoora bohout down agaya as investment agaye aur several loan mil gai IMF Sy. So kehny ka matlab ha mehengai ka taluq is decision sy ha but nahi ha  Grin Kyu ky woh toh baghair aisy decision ky bar Rahe ha. Aur inflation is directly proportional to mehengai 😉

Ab agr Kuch log inflation ko nahi janty toh asaan alfaaz Mai jab paisy ki qadar daily life ky goods ki price ky muqably km hogai toh yeh mehengai ka sabab bante ha, aur paisy ki qadar Yani value Mai kami ki wajohaat zyada supply (high number of money printing) aur km demand hote ha.

Ab jaisa ap sab ny kaha ab tak corrupt government or establishment Jo bhi decision ly Rahe ha woh sirf 100% zaate faidy ky Liya hote ha awam ka koi khayal nahi rakha jata ha ha. Ab agr is decision Mai 80% establishment ka faida aur Atleast 20% hamara faida ho Raha ha toh isliya appreciate kar Raha hu, Yani Jo side ky elaqy ha jaha pa koi development nahi ho Rahe unko ignore Kiya gaya ab agr Banda select Hoge governor ya CM toh inky elaqy ka hoga toh thoore mehroomi toh km hojai ge.

Toh conclusion yeh ha ky full 100% loss Jo continueosly chal Raha ha har decision Mai ab agr opportunity ha ik decision Mai isko 80% karny ki toh Kyu na grab Kiya jai, Kyu ky agr ap smajty ha aisy decision ky baghair yeh corruption nahi kar paingy ya paisa steal nahi kar paingy toh woh toh already kar rahy ha aur achy tareeky Sy kar rahy ha aur har year advance hoty ja rahy ha. Hope ap maire Baat ko samj pa Gai hongy  Cool
Zain bhai bat ye hai ky ek banda ehal hi nai hai. Ek kursi ky. Ab ap uss ko ek ilaqy ki hakmiyat dy den yaa phr ek barre aazam ki. Wo kuch nai kar sakta.
Agar man'na hai to pury dill sy manen ky kahen ky hukumat theak iss cheez ki ehal hai yaa phr kahen ky nai bhai bohat mushkil hai. Yaa jo iss hukumat ki philosophy hai. khaaty hen to lgaty bhi to hen. iss ko tasleem karen.

Basically aap mera point of view samjy hi nai. Is ko my development achi us waqt kahun gaa jab 12 provinces ki hukumat ehal bandon ky hath hogi to. Like IK ny Punjab Usman Buzdaar ky hwaly kiya. So kaya kiya uss ny. Wo ehal hi nai thaa uss kursi ky to wo kar kaya leta? Or ye IK ki hukumat kaa bohat barra blunder tha. Agar koi ehal banda bithaty or wo development karta to log N league taraf dubara naa bhagty.

Kher topic par dubara ata hun. Mera yehi kehna hai. Jo hukumat 4 nai smbhal paa rahi wo 12 bhi nai smbhal sakti. Bsss khany waly lootny waly barhny waly hen. Han koi ehal hukumat aaye to ye development bohat achi hai. Lootny waly naa hon Pakistan ky kher khaa hon. Phr ye development bohat achi hogi. Definitely. Lekn filhaal mera muaqqaf change nai ho sakta mojuda halaat ky mutabiq.

Or ek or drawback bhi hai. Abhi 4 provinces hen. To 4 hukumaten hen. Yani KPK alag PTI ky pas. Punjab N league ky pas. Or Sindh PPP ky pas. Iss tarah 12 parties hon gi... Or ikhtilafa barhen gy.