Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Alone055
on 28/08/2025, 11:08:47 UTC
Zain bhai bat ye hai ky ek banda ehal hi nai hai. Ek kursi ky. Ab ap uss ko ek ilaqy ki hakmiyat dy den yaa phr ek barre aazam ki. Wo kuch nai kar sakta.
Agar man'na hai to pury dill sy manen ky kahen ky hukumat theak iss cheez ki ehal hai yaa phr kahen ky nai bhai bohat mushkil hai. Yaa jo iss hukumat ki philosophy hai. khaaty hen to lgaty bhi to hen. iss ko tasleem karen.

Basically aap mera point of view samjy hi nai. Is ko my development achi us waqt kahun gaa jab 12 provinces ki hukumat ehal bandon ky hath hogi to. Like IK ny Punjab Usman Buzdaar ky hwaly kiya. So kaya kiya uss ny. Wo ehal hi nai thaa uss kursi ky to wo kar kaya leta? Or ye IK ki hukumat kaa bohat barra blunder tha. Agar koi ehal banda bithaty or wo development karta to log N league taraf dubara naa bhagty.

Kher topic par dubara ata hun. Mera yehi kehna hai. Jo hukumat 4 nai smbhal paa rahi wo 12 bhi nai smbhal sakti. Bsss khany waly lootny waly barhny waly hen. Han koi ehal hukumat aaye to ye development bohat achi hai. Lootny waly naa hon Pakistan ky kher khaa hon. Phr ye development bohat achi hogi. Definitely. Lekn filhaal mera muaqqaf change nai ho sakta mojuda halaat ky mutabiq.

Same yahi mera bhi point of view hai, kyunke jis tarha k halaat humen Pakistan k abi nazar aa rhe hain, iske chalte aesa iqdaam maslon ko hal nahin karega balke mazeed barha dega, qk jaise aapne kaha k agar puri government jad se hi corrupt hai, toh zahir hai aage jo log appoint kiye jaenge wo bhi unhi k naqsh-e-qadam par chalenge aur unhi ka kehna manenge, jiska mtlb yeh hai k 12 provinces men jitne officials honge wo sare isi government ki paidawar honge aur phr sab k sab mil baant k khaenge is mulk ko aur awaam pe mazeed bhoj barhega aur bhoj kaise barhega wo maine pehle hi explain kardia tha.

Isliye maine kaha tha, k agar aap awaam k bijli gas k bill, taxes, aur aam cheezon ki keemten barha dete ho aur phr unko kehte ho k bai hum development ka kaam kr rhe hain, toh mujhe nai lagta us development ki awaam ko koi zarorat hai qk yeh awaam gareeb hai, yahan log mehnat mazdoori kar k apna aur apne ghar walon ka pait bharte hain, aur mehngai ne pehle hi sabke qamar tor k rakh diye hain, upar se agar bhoj mazeed barha diya jaega, jo k lazmi hoga agar 4 se barha k 12 provinces bana diye jaenge, toh awaam ka kia hi haal hoga aap khud socho.