Aur last Mai saara apko pay karna hoga phir tax bhi bary ga aur yeh sab alag hukoomat Mai Kyu ky usko new loan Jo nahi mil Raha. Aur yeh purany Waly 9,2,11 hojyngy aur awam wohi ki Wohi ki bajai olta neechy chale jai ge so issue hi issue aur unky mazy hi mazy
Kehte ha ke insan buhat zyada aqal mand cheez ha ye ek bar doka kah jata ha per dubra pir oabi nahe lahta ,.per pata nahe hum Pakistani log kes cheez ke bane huwe hain. Ab hum sub ko pata ha ke game kia cheez ha per pir be hum en logo ke leye jagar rahe hain ek dusre ko maar rahe hain halanke jo govt ma ata ha wo serf apna balck money aur apke business ko age barhane ke leye ate hain corruption karte hain aur pir chale jate hain.
En ka 5 saal ka dur hota ha es ma agr ye log ghlati se koi project start karte hain aur en ki government khatam ho jati ha tu jo agla government ata ha wo sub se pehle en sre projects ko khatam karta ha take wo pechli wali government achi na ban sake awam ki nazar ma . Ab jab ye ate hain wo sub khatam kar ke pir se dusre projects start karte hain aur es trah awam ka paisa zya keya jata ha.
Ab ma agr kahun ke ye democracy hamre leye bani he nahe ha tu mera ye kehna ghalat nahe hoga. Democracy ma jetna time hum enko daite hain etne ma kuch nahe hota agli bari dusri government ki hoti ha q ke es government ne acha perform nahe keia. Hamre leye dictatorship he best ha , jab jab foji government aye hai yahan je awam bilkul daande ki trah seedi ho gaye hai aur economy best . Har mulk ka aona apna government system ha, america Europe ka Democratic form of government, es trah china ka apna alag , north Korea ka apna , har kesi ka apna apna ha ab agr china ma democracy agaye tu ye bilkul be nahe chal payega.
Tu Pakistan ma baqi jo be form of government ho cjal jayegi per ye democracy nahe chal sakti yahn pe aur ye in 78 salo ma proof ho chuka ha.