Assalamu Alaykum!
Walaikum Asalam.
Ji bilkul ap ne sahi kaha or me agree karta hun ke Pakistan Ke mostly masail ko ignore kar diya jata he or us ka koi permanent solution nahi nikalte. Ye mostly is liye hi hota he k mulk main tabahi hoti rahe or hukoomat ko funds milte rhen kyunke
abhi hukmaranon ko Awaam ki koi fikar nahin or apna hi pait bhar rahen hai. Apne Japan ki boht achi example Di. Pakistan ko Japan se boht kuch seekhna chahiye kyunke unho ne Atomic Bomb ko suffer karne ke baad bhi itni development ki ke abhi Duniya ki Most Developed country
he. Wo isi liye development kar rhe hn kyunke corruption boht kam he or wo problems ka permanent solution nikalte hn naa ke bas aarzi tor par rok liya jae.Is ke elawa wo apne mulk se pyaar karte hn jabke hamarey hukmuran to paise ke piche hi bhaagte rehte hn. Allah Sab ko Hidayat De!